ba-nam-e-ishq ek ehsan sa abhi tak hai
ba-nām-e-ishq ik ehsān sā abhī tak hai
vo sāda-lauh hameñ chāhtā abhī tak hai
faqat zamān o makāñ meñ zarā sā farq aayā
jo ek mas.ala-e-dard thā abhī tak hai
shurū-e-ishq meñ hāsil huā jo der ke ba.ad
vo ek sifr tah-e-hāshiya abhī tak hai
hulūl kar chukī ḳhud meñ hazār naqsh o rañg
ye kā.enāt jo ḳhāka-numā abhī tak hai
tavīl silsila-e-maslahat hai chaar taraf
yaqīn kar le mirī jaañ ḳhudā abhī tak hai
ba-nam-e-ishq ek ehsan sa abhi tak hai
wo sada-lauh hamein chahta abhi tak hai
faqat zaman o makan mein zara sa farq aaya
jo ek masala-e-dard tha abhi tak hai
shuru-e-ishq mein hasil hua jo der ke baad
wo ek sifr tah-e-hashiya abhi tak hai
hulul kar chuki KHud mein hazar naqsh o rang
ye kaenat jo KHaka-numa abhi tak hai
tawil silsila-e-maslahat hai chaar taraf
yaqin kar le meri jaan KHuda abhi tak hai
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 20)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.