Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni hi rawani mein bahta nazar aata hai

Inam Nadeem

apni hi rawani mein bahta nazar aata hai

Inam Nadeem

apnī ravānī meñ bahtā nazar aatā hai

ye shahr bulandī se dariyā nazar aatā hai

detā hai koī apne dāman havā us ko

sho'la mire dil meñ jaltā nazar aatā hai

us haath tohfa thā ik daaġh mire dil par

vo daaġh bhī ab lekin jaatā nazar aatā hai

āñkhoñ ke muqābil hai kaisā ye 'ajab manzar

sahrā to nahīñ lekin sahrā nazar aatā hai

ik shakl bantī hai har shab mirī nīñdoñ meñ

ik phuul ḳhvāboñ meñ khiltā nazar aatā hai

āñkhoñ ne nahīñ dekhī us jism rā'nā.ī

ye chaar taraf jis saayā nazar aatā hai

dariyā ko kināre se kyā dekhte rahte ho

andar se kabhī dekho kaisā nazar aatā hai

phir zau meñ 'nadīm' apnī kuchh kam hai sitāra vo

ye raat ā.īna dhuñdlā nazar aatā hai

apni hi rawani mein bahta nazar aata hai

ye shahr bulandi se dariya nazar aata hai

deta hai koi apne daman ki hawa us ko

sho'la sa mere dil mein jalta nazar aata hai

us hath ka tohfa tha ek dagh mere dil par

wo dagh bhi ab lekin jata nazar aata hai

aankhon ke muqabil hai kaisa ye 'ajab manzar

sahra to nahin lekin sahra nazar aata hai

ek shakl si banti hai har shab meri nindon mein

ek phul sa KHwabon mein khilta nazar aata hai

aankhon ne nahin dekhi us jism ki ra'nai

ye chaar taraf jis ka saya nazar aata hai

dariya ko kinare se kya dekhte rahte ho

andar se kabhi dekho kaisa nazar aata hai

phir zau mein 'nadim' apni kuchh kam hai sitara wo

ye raat ka aaina dhundla nazar aata hai

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now