Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aagahi sud-o-ziyan ki koi mushkil bhi nahin

Javed Vashisht

aagahi sud-o-ziyan ki koi mushkil bhi nahin

Javed Vashisht

MORE BYJaved Vashisht

    āgahī sūd-o-ziyāñ koī mushkil bhī nahīñ

    hāsil-e-'umr magar 'umr hāsil bhī nahīñ

    aañkh uThāo to hijābāt ik 'ālam hai

    dil se dekho to koī raah meñ haa.il bhī nahīñ

    dil to kyā jaañ se bhī inkār nahīñ hai lekin

    dil hai badnām bahut phir tire qābil bhī nahīñ

    uljhaneñ laakh sahī ziist meñ lekin yaaro

    raunaq-e-bazm-e-jahāñ nazr-e-masā.il bhī nahīñ

    tere dīvāne ḳhudā jaane kahāñ nikle

    der se dasht meñ āvāz-e-salāsil bhī nahīñ

    dard aañch banā detī hai dil ko iksīr

    dard se dil hai agar dard nahīñ dil bhī nahīñ

    ġhaur se dekho to ye ziist hai zaḳhmoñ chaman

    aur 'jāved' ba-zāhir koī ghā.il bhī nahīñ

    aagahi sud-o-ziyan ki koi mushkil bhi nahin

    hasil-e-'umr magar 'umr ka hasil bhi nahin

    aankh uThao to hijabaat ka ek 'alam hai

    dil se dekho to koi rah mein hail bhi nahin

    dil to kya jaan se bhi inkar nahin hai lekin

    dil hai badnam bahut phir tere qabil bhi nahin

    uljhanen lakh sahi zist mein lekin yaro

    raunaq-e-bazm-e-jahan nazr-e-masail bhi nahin

    tere diwane KHuda jaane kahan ja nikle

    der se dasht mein aawaz-e-salasil bhi nahin

    dard ki aanch bana deti hai dil ko iksir

    dard se dil hai agar dard nahin dil bhi nahin

    ghaur se dekho to ye zist hai zaKHmon ka chaman

    aur 'jawed' ba-zahir koi ghail bhi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now