Quotes on Iqbal Day
Read Allama Iqbal's
literary work that has been preserved over the last 150 years
Insaanon Se Milne Waale Sadmaat Ke Ilaawa Insaan Ki Yaaddaasht Aam Taur Par Kharaab Hoti Hai.

Insaaf Eik Bekaraan Khazaana Hai. Lekin Humein Ise Raham Ke Chor Se Mahfooz Rakhna Chaahiye.

Yaqeen Eik Badi Taaqat Hai. Jab Main Dekhta Hun Ki Dusra Bhi Mere Afkaar Ka Muayyid Hai, To Uski Sadaaqat Ke Baare Mein Mera Etimaad Be-Intiha Badh Jaata Hai.

Afraad Aur Qaumein Khatm Ho Jaati Hain. Magar Unke Bachche Yaani Tasawwuraat Kabhi Khatm Nahin Hote.

Hamaari Rooh Ko Us Waqt Apnaa Irfaan Haasil Hota Hai, Jab Hum Kisi Mufakkir Se Rushanaas Hote Hain. Jab Tak Main Goete Ke Tasawwuraat Ki La-mutanaahiyat Se Be-Khabar Tha. Us Waqt Tak Main Apni Kam-Maaegi Par Muttala Na Tha.

Matthew Arnold Shaairi Ko Tnqeed-e-Hayaat Btaata Hai. Zindagi Ko Tanqeed-e-shaairi Kahna Bhi Utnaa Hi Durust Hai.

Shaairi Mein Mantiqi Sachchaai Ki Talaash Bilkul Be-kaar Be-takhayyul Ka Nasb-ul-ain Husn Hai, Na Ki Schchaai. Isliye Kisi Funkaar Ki Azmat Ko Zaahir Karne Ke Liye Uski Takhleeqaat Mein Se Wo Iqtibaasaat Pesh Na Kijiye. Jo Aapki Raaye Mein Sciency Haqaaeq Par Mushtamil Hon.

Taareekh-e-eik Tarah Ki Amali Akhlaaqiyaat Hai. Doosre Uloom Ki Tarah Agar Akhlaaqiyaat Eik Tajurbaati Ilm Hai. To Use Insaani Tajurbaat Ke Inkishaafaat Par Mabni Hona Chaahiye. Is Nuqta-e-nazar Ke Barmala Izhaar Se Un Logon Ke Bhi Naazuk Ehsaasaat Ko Yaqeenan Sadma Pahunchega. Jo Akhlaaq Ke Muaamle Mein Sakht-geer Hone Ke Daawedaar Hain. Lekin Jinkaa Avaami Kirdaar Taareekhi Taalimaat Se Mutayyan Hota Hai.