Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Environment

jañgaloñ ko kaaT kar kaisā ġhazab ham ne kiyā

shahr jaisā ek ādam-ḳhor paidā kar liyā

jangalon ko kaT kar kaisa ghazab hum ne kiya

shahr jaisa ek aadam-KHor paida kar liya

Farhat Ehsas

aag jañgal meñ lagī hai duur dariyāoñ ke paar

aur koī shahr meñ phirtā hai ghabrāyā huā

aag jangal mein lagi hai dur dariyaon ke par

aur koi shahr mein phirta hai ghabraya hua

Zafar Iqbal

jañgal jañgal aag lagī hai dariyā dariyā paanī hai

nagrī nagrī thaah nahīñ hai log bahut ghabrā.e haiñ

jangal jangal aag lagi hai dariya dariya pani hai

nagri nagri thah nahin hai log bahut ghabrae hain

Jameel Azimabadi

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now