va.ade kā e'tibār to hai vāqa.ī mujhe
ye aur baat hai ki hañsī aa ga.ī mujhe
wade ka e'tibar to hai waqai mujhe
ye aur baat hai ki hansi aa gai mujhe
-
Tag : e'tibaar
sukūn-e-qalb kā sab inhisār tum par thā
maiñ kyā batā.ūñ baḌā e'tibār tum par thā
sukun-e-qalb ka sab inhisar tum par tha
main kya bataun baDa e'tibar tum par tha
maiñ jāntā huuñ ki insāf kuchh nahīñ hogā
na chaah kar bhī mujhe e'tibār karnā hai
main jaanta hun ki insaf kuchh nahin hoga
na chah kar bhi mujhe e'tibar karna hai