Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Raza Azimabadi

Prominent classical poet of post-Mir generation

Prominent classical poet of post-Mir generation

Sher of Raza Azimabadi

1.8K
Favorite

SORT BY

dekhī thī ek raat tirī zulf ḳhvāb meñ

phir jab talak jiyā maiñ pareshān rahā

dekhi thi ek raat teri zulf KHwab mein

phir jab talak jiya main pareshan hi raha

imārat dair o masjid banī hai iiñT o patthar se

dil-e-vīrāna kis chiiz se ta.amīr hotī hai

imarat dair o masjid ki bani hai inT o patthar se

dil-e-virana ki kis chiz se tamir hoti hai

sau iid agar zamāne meñ laa.e falak va-lek

ghar se hamāre māh-e-muharram na jā.egā

sau id agar zamane mein lae falak wa-lek

ghar se hamare mah-e-muharram na jaega

yārab us ke dil se sadā rakhiyo ġham ko duur

jis ne kisī ke dil ko kabhī shādmāñ kiyā

yarab tu us ke dil se sada rakhiyo gham ko dur

jis ne kisi ke dil ko kabhi shadman kiya

sab kuchh paḌhāyā ham ko murdarris ne ishq ke

miltā hai jis se yaar na aisī paḌhā.ī baat

sab kuchh paDhaya hum ko murdarris ne ishq ke

milta hai jis se yar na aisi paDhai baat

rafū phir kījiyo pairāhan-e-yūsuf ko ai ḳhayyāt

siyā jaa.e to pahle chāk-e-dil zuleḳhā

rafu phir kijiyo pairahan-e-yusuf ko ai KHayyat

siya jae to si pahle tu chaak-e-dil zuleKHa ka

ka.abe meñ shaiḳh mujh ko samjhe zalīl lekin

sau shukr mai-kade meñ hai e'tibār apnā

kabe mein shaiKH mujh ko samjhe zalil lekin

sau shukr mai-kade mein hai e'tibar apna

sunte to the 'razā' haiñ sab haiñ baḌe musalmāñ

par kufr meñ ziyāda nikle vo barahman se

sunte to the 'raza' hain sab hain baDe musalman

par kufr mein ziyaada nikle wo barahman se

is chashm o dil ne kahnā na maanā tamām umr

ham par ḳharābī laa.ī ye ghar phūT-phāT

is chashm o dil ne kahna na mana tamam umr

hum par KHarabi lai ye ghar hi ki phuT-phaT

kyā kaheñ apnī siyah-baḳhtī andher hai

varna sab hijr raat aisī kaalī bhī nahīñ

kya kahen apni siyah-baKHti hi ka andher hai

warna sab ki hijr ki raat aisi kali bhi nahin

ḳhvāh kāfir mujhe kah ḳhvāh musalmān ai shaiḳh

but ke hāthoñ meñ bikā huuñ ḳhudā saugand

KHwah kafir mujhe kah KHwah musalman ai shaiKH

but ke hathon mein bika ya hun KHuda ki saugand

zaḳhm ke lagte kyā khul ga.e chhātī ke kivāḌ

aage ye ḳhāna-e-dilchasp havā daar na thā

zaKHm ke lagte hi kya khul gae chhati ke kiwaD

aage ye KHana-e-dilchasp hawa dar na tha

ilāhī chashm-e-bad us se duur rakhiyo

ki mast saḳht huuñ maiñ aur ayāġh nāzuk-tar

ilahi chashm-e-bad us se tu dur hi rakhiyo

ki mast saKHt hun main aur ayagh nazuk-tar

chalā hai ka.abe ko but-ḳhāne se 'razā' yaaro

kisī ne aisā ḳhudā.ī-ḳharāb dekhā hai

chala hai kabe ko but-KHane se 'raza' yaro

kisi ne aisa KHudai-KHarab dekha hai

gar garebāñ siyā to kyā nāseh

siine chaak bin siyā rahā

gar gareban siya to kya naseh

sine ka chaak bin siya hi raha

aisā kisī se junūñ dast-o-garebāñ na ho

chāk-e-garebāñ bhī chaak garebāñ kiyā

aisa kisi se junun dast-o-gareban na ho

chaak-e-gareban ka bhi chaak gareban kiya

na ka.aba hai yahāñ mere na hai but-ḳhāna pahlū meñ

liyā kis ghar base ne aah aa kar ḳhāna pahlū meñ

na kaba hai yahan mere na hai but-KHana pahlu mein

liya kis ghar base ne aah aa kar KHana pahlu mein

ik dam ke vāste na kiyā kyā kyā ai 'razā'

dekhā chhupāyā toḌā banāyā kahā sunā

ek dam ke waste na kiya kya kya ai 'raza'

dekha chhupaya toDa banaya kaha suna

nau-mashq-e-ishq haiñ ham aa.heñ kareñ ajab kyā

giilī jalegī lakḌī kyūñkar dhuāñ na hogā

nau-mashq-e-ishq hain hum aahen karen ajab kya

gili jalegi lakDi kyunkar dhuan na hoga

ka.aba o dair jidhar dekhā udhar kasrat hai

aah kyā jaane kidhar gosha-e-tanhā.ī hai

kaba o dair jidhar dekha udhar kasrat hai

aah kya jaane kidhar gosha-e-tanhai hai

ham ko milī hai ishq se ik āh-e-soz-nāk

vo bhī usī garmī-e-bāzār ke liye

hum ko mili hai ishq se ek aah-e-soz-nak

wo bhi usi ki garmi-e-bazar ke liye

sau ġhamze ke rakhtā hai nigahbān pas-o-pesh

aatā hai akelā par akelā nahīñ aatā

sau ghamze ke rakhta hai nigahban pas-o-pesh

aata hai akela par akela nahin aata

kis tarah 'razā' na ho dhavāne zamāna

jab dil tirī baiThā ho badnām baġhal meñ

kis tarah 'raza' tu na ho dhawane zamana

jab dil sa teri baiTha ho badnam baghal mein

jis tarah ham rahe duniyā meñ haiñ us tarah 'razā'

shaiḳh but-ḳhāne meñ ka.abe meñ barahman na rahā

jis tarah hum rahe duniya mein hain us tarah 'raza'

shaiKH but-KHane mein kabe mein barahman na raha

ḳhushā ho kar butāñ kab āshiqoñ ko yaad karte haiñ

'razā' hairāñ huuñ maiñ kis baat par hai utnā bholā

KHusha ho kar butan kab aashiqon ko yaad karte hain

'raza' hairan hun main kis baat par hai utna bhola tu

Recitation

Speak Now