Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mahtab Alam's Photo'

Mahtab Alam

1972 | Bhopal, India

Mahtab Alam

Ghazal 8

Sher-o-Shayari 14

dil bhī toḌā to salīqe se na toḌā tum ne

bevafā.ī ke bhī ādāb huā karte haiñ

dil bhi toDa to saliqe se na toDa tum ne

bewafai ke bhi aadab hua karte hain

  • Share this

vatan ko phūñk rahe haiñ bahut se ahl-e-vatan

charāġh ghar ke haiñ sargarm ghar jalāne meñ

watan ko phunk rahe hain bahut se ahl-e-watan

charagh ghar ke hain sargarm ghar jalane mein

  • Share this

us ko āvāz do mohabbat se

us ke sab naam pyāre pyāre haiñ

us ko aawaz do mohabbat se

us ke sab nam pyare pyare hain

  • Share this

tum zamāne ke ho hamāre sivā

ham kisī ke nahīñ tumhāre haiñ

tum zamane ke ho hamare siwa

hum kisi ke nahin tumhaare hain

  • Share this

ye san kar merī nīndeñ uḌ ga.ī haiñ

koī merā bhī sapnā dekhtā hai

ye san kar meri ninden uD gai hain

koi mera bhi sapna dekhta hai

  • Share this

BOOKS 5

 

Image Shayari 1

 

More Poets From "Bhopal"

Recitation

Speak Now