Khalid Ghani
Ghazal 3
Nazm 3
Sher-o-Shayari 4
rañg ḳhushbū aur mausam kā bahānā ho gayā
apnī hī tasvīr meñ chehra purānā ho gayā
rang KHushbu aur mausam ka bahana ho gaya
apni hi taswir mein chehra purana ho gaya
-
Share this
- See Ghazal
ab mirī tanhā.ī bhī mujh se baġhāvat kar ga.ī
kal yahāñ jo kuchh huā thā sab fasānā ho gayā
ab meri tanhai bhi mujh se baghawat kar gai
kal yahan jo kuchh hua tha sab fasana ho gaya
-
Share this
- See Ghazal
mire sulūk kī qīmat yahīñ adā kar de
mujhe gunāh kī lazzat se āshnā kar de
mere suluk ki qimat yahin ada kar de
mujhe gunah ki lazzat se aashna kar de
-
Share this
- See Ghazal
lakīreñ pīTne vāloñ ko 'ḳhālid'
lakīroñ par hañsī aane lagī hai
lakiren piTne walon ko 'KHalid'
lakiron par hansi aane lagi hai
-
Share this
- See Ghazal