Kamil Akhtar
Ghazal 4
Sher-o-Shayari 6
ab to har vaqt vahī itnā rulātā hai mujhe
jis ko jaate hue maiñ dekh ke ro bhī na sakā
ab to har waqt wahi itna rulata hai mujhe
jis ko jate hue main dekh ke ro bhi na saka
-
Share this
- See Ghazal
aksar isī ḳhayāl ne māyūs kar diyā
shāyad tamām umr yuuñ hī kāTnī paḌe
aksar isi KHayal ne mayus kar diya
shayad tamam umr yun hi kaTni paDe
-
Share this
- See Ghazal
lamhoñ ke taar khīñchtā rahtā thā raat din
ik shaḳhs le gayā mirī sadiyāñ sameT ke
lamhon ke tar khinchta rahta tha raat din
ek shaKHs le gaya meri sadiyan sameT ke
-
Share this
- See Ghazal
manzaroñ kī bhiiḌ aisī to kabhī dekhī na thī
gaañv achchhā thā magar us meñ koī laḌkī na thī
manzaron ki bhiD aisi to kabhi dekhi na thi
ganw achchha tha magar us mein koi laDki na thi
-
Share this
- See Ghazal
umr bhar yaad rahā apnī vafāoñ kī tarah
ek vo ahd jise aap ne puurā na kiyā
umr bhar yaad raha apni wafaon ki tarah
ek wo ahd jise aap ne pura na kiya
-
Share this
- See Ghazal