Jeem Jazil
Ghazal 5
Nazm 2
Sher-o-Shayari 6
ashk āñkhoñ se ye kah kar niklā
ye tire zabt kī had hai? had hai
ashk aankhon se ye kah kar nikla
ye tere zabt ki had hai? had hai
-
Share this
- See Ghazal
maiñ apne jism ke andar na dafn ho jā.ūñ
mujhe vajūd ke girte hue makāñ se nikāl
main apne jism ke andar na dafn ho jaun
mujhe wajud ke girte hue makan se nikal
-
Share this
- See Ghazal
rakkhī thī tasvīr tumhārī āñkhoñ meñ
ham ne saarī raat guzārī āñkhoñ meñ
rakkhi thi taswir tumhaari aankhon mein
hum ne sari raat guzari aankhon mein
-
Share this
- See Ghazal
ek bachcha sā be-sabab 'jāzil'
baiThā rahtā hai ruuTh kar mujh meñ
ek bachcha sa be-sabab 'jazil'
baiTha rahta hai ruTh kar mujh mein
-
Share this
- See Ghazal
zindagī tujh ko tire dard ke har ik pal ko
ham ne jis tarah guzārā hai ḳhudā jāntā hai
zindagi tujh ko tere dard ke har ek pal ko
hum ne jis tarah guzara hai KHuda jaanta hai
-
Share this
- See Ghazal