har taraf dhup ka nagar mujh mein
har taraf dhuup kā nagar mujh meñ
kaT girā āḳhirī shajar mujh meñ
chhāñv chhāñv pukārtā jaa.e
kaun karne lagā safar mujh meñ
mujh se ho kar alag pareshāñ thā
lauT aayā mirā hunar mujh meñ
ek bachcha sā be-sabab 'jāzil'
baiThā rahtā hai ruuTh kar mujh meñ
har taraf dhup ka nagar mujh mein
kaT gira aaKHiri shajar mujh mein
chhanw chhanw pukarta jae
kaun karne laga safar mujh mein
mujh se ho kar alag pareshan tha
lauT aaya mera hunar mujh mein
ek bachcha sa be-sabab 'jazil'
baiTha rahta hai ruTh kar mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.