Javed Nasir
Ghazal 21
Nazm 6
Sher-o-Shayari 12
dasht kī dhuup hai jañgal kī ghanī rāteñ haiñ
is kahānī meñ bahr haal ka.ī bāteñ haiñ
dasht ki dhup hai jangal ki ghani raaten hain
is kahani mein bahr haal kai baaten hain
-
Share this
- See Ghazal
dosto tum se guzārish hai yahāñ mat aao
is baḌe shahr meñ tanhā.ī bhī mar jaatī hai
dosto tum se guzarish hai yahan mat aao
is baDe shahr mein tanhai bhi mar jati hai
-
Share this
- See Ghazal
khultī haiñ āsmāñ meñ samundar kī khiḌkiyāñ
be-dīn rāstoñ pe kahīñ apnā ghar to hai
khulti hain aasman mein samundar ki khiDkiyan
be-din raston pe kahin apna ghar to hai
-
Share this
- See Ghazal
raat aa jaa.e to phir tujh ko pukārūñ yā-rab
merī āvāz ujāle meñ bikhar jaatī hai
raat aa jae to phir tujh ko pukarun ya-rab
meri aawaz ujale mein bikhar jati hai
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 5
Image Shayari 2
dasht kii dhuup hai jangal kii ghanii raate.n hai.n is kahaanii me.n bahar-haal ka.ii baate.n hai.n go tire saath miraa vaqt guzar jaataa hai shahr me.n aur bhii logo.n se mulaaqaate.n hai.n jitne ash.aar hai.n un sab pe tumhaaraa haq hai jitnii nazme.n hai.n mirii niind kii sauGaate.n hai.n kyaa kahaanii ko isii mo.D pa ruknaa hogaa raushnii hai na samundar hai na barsaate.n hai.n