Iftikhar Naseem
Ghazal 34
Nazm 1
Sher-o-Shayari 21
jī meñ Thānī hai ki jiinā hai bahar-hāl mujhe
jis ko marnā hai vo chup-chāp hī martā jaa.e
ji mein Thani hai ki jina hai bahar-haal mujhe
jis ko marna hai wo chup-chap hi marta jae
-
Share this
- See Ghazal
koī bādal mere tapte jism par barsā nahīñ
jal rahā huuñ jaane kab se jism kī garmī ke saath
koi baadal mere tapte jism par barsa nahin
jal raha hun jaane kab se jism ki garmi ke sath
-
Share this
- See Ghazal
na jaane kab vo palaT aa.eñ dar khulā rakhnā
ga.e hue ke liye dil meñ kuchh jagah rakhnā
na jaane kab wo palaT aaen dar khula rakhna
gae hue ke liye dil mein kuchh jagah rakhna
-
Share this
- See Ghazal
us ke chehre kī chamak ke sāmne saada lagā
āsmāñ pe chāñd puurā thā magar aadhā lagā
us ke chehre ki chamak ke samne sada laga
aasman pe chand pura tha magar aadha laga
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 4
Image Shayari 4
us ke chehre kii chamak ke saamne saada lagaa aasmaa.n pe chaa.nd puuraa thaa magar aadhaa lagaa jis gha.Dii aayaa palaT kar ik miraa bichh.Daa hu.aa aam se kap.Do.n me.n thaa vo phir bhii shahzaada lagaa har gha.Dii tayyaar hai dil jaan dene ke liye us ne puuchhaa bhii nahii.n ye phir bhii aamaada lagaa kaarvaa.n hai yaa saraab-e-zindagii hai kyaa hai ye ek manzil kaa nishaa.n ik aur hii jaada lagaa raushnii aisii ajab thii ra.ng-bhuumii kii 'nasiim' ho ga.e kirdaar mudGam kirshn bhii raadhaa lagaa