ALL
Profile
Ghazal69
Nazm29
Sher79
E-book109
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari8
Audio7
Video20
Qita20
Qisse3
Children's Story2
Hafeez Jalandhari
Ghazal 69
Nazm 29
Sher-o-Shayari 79
irāde bāñdhtā huuñ sochtā huuñ toḌ detā huuñ
kahīñ aisā na ho jaa.e kahīñ aisā na ho jaa.e
irade bandhta hun sochta hun toD deta hun
kahin aisa na ho jae kahin aisa na ho jae
-
Share this
- See Ghazal
dostoñ ko bhī mile dard kī daulat yā rab
merā apnā hī bhalā ho mujhe manzūr nahīñ
may my friends too receive this wealth of pain
I cannot envisage my solitary gain
doston ko bhi mile dard ki daulat ya rab
mera apna hi bhala ho mujhe manzur nahin
may my friends too receive this wealth of pain
I cannot envisage my solitary gain
-
Share this
- Translation
koī chārā nahīñ duā ke sivā
koī suntā nahīñ ḳhudā ke sivā
TRANSLATION
There’s no option but to pray with piety,
As no one listens, except the Almighty.
Sagar Akbarabadi
koi chaara nahin dua ke siwa
koi sunta nahin KHuda ke siwa
TRANSLATION
There’s no option but to pray with piety,
As no one listens, except the Almighty.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
vafā jis se kī bevafā ho gayā
jise but banāyā ḳhudā ho gayā
I was constant but she eschewed fidelity
the one I idolized, alas, claimed divinity
wafa jis se ki bewafa ho gaya
jise but banaya KHuda ho gaya
I was constant but she eschewed fidelity
the one I idolized, alas, claimed divinity
-
Share this
- Translation
ham hī meñ thī na koī baat yaad na tum ko aa sake
tum ne hameñ bhulā diyā ham na tumheñ bhulā sake
hum hi mein thi na koi baat yaad na tum ko aa sake
tum ne hamein bhula diya hum na tumhein bhula sake
-
Share this
- See Ghazal
Qita 20
Qisse 3
Children's Story 2
BOOKS 109
Image Shayari 8
ko.ii chaaraa nahii.n du.aa ke sivaa ko.ii suntaa nahii.n KHudaa ke sivaa mujh se kyaa ho sakaa vafaa ke sivaa mujh ko miltaa bhii kyaa sazaa ke sivaa bar-sar-e-saahil muraad yahaa.n ko.ii ubhraa hai naaKHudaa ke sivaa ko.ii bhii to dikhaa.o manzil par jis ko dekhaa ho rahnumaa ke sivaa dil sabhii kuchh zabaan par laayaa ik faqat arz-e-mudda.aa ke sivaa ko.ii raazii na rah sakaa mujh se mere allaah tirii razaa ke sivaa but-kade se chale ho kaabe ko kyaa milegaa tumhe.n KHudaa ke sivaa dosto.n ke ye muKHlisaana tiir kuchh nahii.n merii hii KHataa ke sivaa mehr o mah se buland ho kar bhii nazar aayaa na kuchh KHalaa ke sivaa ai 'hafiiz' aah aah par aaKHir kyaa kahe.n dost vaah vaa ke sivaa
dostii kaa chalan rahaa hii nahii.n ab zamaane kii vo havaa hii nahii.n sach to ye hai sanam-kade vaalo dil KHudaa ne tumhe.n diyaa hii nahii.n palaT aane se ho gayaa saabit naama-bar tuu vahaa.n gayaa hii nahii.n haal ye hai ki ham Gariibo.n kaa haal tum ne kabhii sunaa hii nahii.n kyaa chale zor dasht-e-vahshat kaa ham ne daaman kabhii siyaa hii nahii.n Gair bhii ek din mare.nge zaruur un ke hisse me.n kyaa qazaa hii nahii.n us kii suurat ko dekhtaa huu.n mai.n merii siirat vo dekhtaa hii nahii.n ishq meraa hai shahr me.n mash.huur aur tum ne abhii sunaa hii nahii.n qissa-e-qais sun ke farmaayaa jhuuT kii ko.ii intihaa hii nahii.n vaasta kis kaa de.n 'hafiiz' un ko un buto.n kaa ko.ii KHudaa hii nahii.n