Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Farhat Kanpuri's Photo'

Farhat Kanpuri

1905 - 1952 | Kanpur, India

Farhat Kanpuri

Ghazal 10

Sher-o-Shayari 6

dil rāheñ judā haiñ duniyā se

koī bhī rāhbar nahīñ hotā

dil ki rahen juda hain duniya se

koi bhi rahbar nahin hota

duniyā ne ḳhuub samjhā duniyā ne ḳhuub parkhā

merī nazar ko dekhā jab aap nazar se

duniya ne KHub samjha duniya ne KHub parkha

meri nazar ko dekha jab aap ki nazar se

  • Share this

āñkhoñ meñ base ho tum āñkhoñ meñ ayaañ ho kar

dil meñ na rah jaao āñkhoñ se nihāñ ho kar

aankhon mein base ho tum aankhon mein ayan ho kar

dil hi mein na rah jao aankhon se nihan ho kar

daulat-e-ahd-e-javānī ho ga.e

chand lamhe jo kahānī ho ga.e

daulat-e-ahd-e-jawani ho gae

chand lamhe jo kahani ho gae

'farhat' tire naġhmoñ vo shohrat hai jahāñ meñ

vallāh tirā rañg-e-suḳhan yaad rahegā

'farhat' tere naghmon ki wo shohrat hai jahan mein

wallah tera rang-e-suKHan yaad rahega

Rubai 2

 

BOOKS 1

 

More Poets From "Kanpur"

Recitation

Speak Now