Bashir Mehtaab
Ghazal 11
Sher-o-Shayari 25
hasīñ yādeñ vo bachpan kī kahīñ dil se na kho jaa.eñ
maiñ apne āshiyāne meñ khilaune ab bhī rakhtā huuñ
hasin yaaden wo bachpan ki kahin dil se na kho jaen
main apne aashiyane mein khilaune ab bhi rakhta hun
- Add to favorites
-
Share this
jise manzil samajh kar ruk ga.e ham
vahīñ se apnā āġhāz-e-safar thā
jise manzil samajh kar ruk gae hum
wahin se apna aaghaz-e-safar tha
- Add to favorites
-
Share this
mohabbat bāñTanā sīkho mohabbat hai atā rab kī
mohabbat bāñTne vaale tavīl-ul-umr hote haiñ
mohabbat banTana sikho mohabbat hai ata rab ki
mohabbat banTne wale tawil-ul-umr hote hain
- Add to favorites
-
Share this
ye bātoñ meñ narmī ye tahzīb-o-ādāb
sabhī kuchh milā ham ko urdu zabāñ se
ye baaton mein narmi ye tahzib-o-adab
sabhi kuchh mila hum ko urdu zaban se
- Add to favorites
-
Share this
mujh ko aḳhbār sī lagtī haiñ tumhārī bāteñ
har na.e roz nayā fitna bayāñ kartī haiñ
mujh ko aKHbar si lagti hain tumhaari baaten
har nae roz naya fitna bayan karti hain
- Add to favorites
-
Share this