Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aziz Faisal's Photo'

Aziz Faisal

Pakistan

Aziz Faisal

Nazm 1

 

Sher-o-Shayari 20

hai kāmyābī-e-mardāñ meñ haath aurat

magar ek aurat pe inhisār na kar

hai kaamyabi-e-mardan mein hath aurat ka

magar tu ek hi aurat pe inhisar na kar

  • Share this

maiñ ek borī meñ laayā huuñ bhar ke mūñg-phalī

kisī ke saath december raat kāTnī hai

main ek bori mein laya hun bhar ke mung-phali

kisi ke sath december ki raat kaTni hai

  • Share this

vo tiis saal se hai faqat biis saal

chehre pe aa chukī hai buzurgī jamāl

wo tis sal se hai faqat bis sal ki

chehre pe aa chuki hai buzurgi jamal ki

  • Share this

de rahe haiñ is liye jañgal meñ dharnā jānvar

ek chūhe ko rihā.ish ke liye bil chāhiye

de rahe hain is liye jangal mein dharna jaanwar

ek chuhe ko rihaish ke liye bil chahiye

  • Share this

kitnī mazāhiya hai ye botal ke jin baat

aaqā ab inqalāb hai do chaar din baat

kitni mazahiya hai ye botal ke jin ki baat

aaqa ab inqalab hai do chaar din ki baat

  • Share this

Mazahiya Shayari 3

 

Qita 3

 

Recitation

Speak Now