Asifud Daula
Ghazal 27
Sher-o-Shayari 8
is adā se mujhe salām kiyā
ek hī aan meñ ġhulām kiyā
is ada se mujhe salam kiya
ek hi aan mein ghulam kiya
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
milte hī nazar dil ko milāyā nahīñ jaatā
āġhāz ko anjām banāyā nahīñ jaatā
milte hi nazar dil ko milaya nahin jata
aaghaz ko anjam banaya nahin jata
- Add to favorites
-
Share this
ham ishq ke bande haiñ maz.hab se nahīñ vāqif
gar ka.aba huā to kyā but-ḳhāna huā to kyā
hum ishq ke bande hain mazhab se nahin waqif
gar kaba hua to kya but-KHana hua to kya
- Add to favorites
-
Share this
ye na aane ke bahāne haiñ sabhī varna miyāñ
itnā to ghar se mire kuchh nahīñ ghar duur tirā
ye na aane ke bahane hain sabhi warna miyan
itna to ghar se mere kuchh nahin ghar dur tera
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
kahtā hai bahut kuchh vo mujhe chupke hī chupke
zāhir meñ ye kahtā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
kahta hai bahut kuchh wo mujhe chupke hi chupke
zahir mein ye kahta hai ki main kuchh nahin kahta
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal