Arshad Abdul Hamid
Ghazal 37
Sher-o-Shayari 19
ye intizār nahīñ sham.a hai rifāqat kī
is intizār se tanhā.ī ḳhūb-sūrat hai
ye intizar nahin shama hai rifaqat ki
is intizar se tanhai KHub-surat hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
kuchh sitāre mirī palkoñ pe chamakte haiñ abhī
kuchh sitāre mire siine meñ samā.e hue haiñ
kuchh sitare meri palkon pe chamakte hain abhi
kuchh sitare mere sine mein samae hue hain
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
ye duniyā akbar zulmoñ kī ham majbūrī kī anārkalī
ham dīvāroñ ke biich meñ haiñ ham narġha-e-jabr-o-jalāl meñ haiñ
ye duniya akbar zulmon ki hum majburi ki anarkali
hum diwaron ke bich mein hain hum nargha-e-jabr-o-jalal mein hain
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
zamīñ ke paas kisī dard kā ilaaj nahīñ
zamīn hai ki mire ahd kī siyāsat hai
zamin ke pas kisi dard ka ilaj nahin
zamin hai ki mere ahd ki siyasat hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
dil ko ma.alūm hai kyā baat batānī hai use
us se kyā baat chhupānī hai zabāñ jāntī hai
dil ko malum hai kya baat batani hai use
us se kya baat chhupani hai zaban jaanti hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
Doha 3
kis kis ko samjhā.egā ye nādānī chhoḌ
chehre ko sundar banā ā.īna mat toḌ
kis kis ko samjhaega ye nadani chhoD
chehre ko sundar bana aaina mat toD
- Add to favorites
-
Share this
ḳhudā kare ye raushnī paḌe kabhī na maañd
gāloñ par vo likh gayā aadhe aadhe chāñd
KHuda kare ye raushni paDe kabhi na mand
galon par wo likh gaya aadhe aadhe chand
- Add to favorites
-
Share this
sāvan aate hī baḌhe āvāzoñ kā zor
ḳhushbū chīḳhe Daal par rañg machā.eñ shor
sawan aate hi baDhe aawazon ka zor
KHushbu chiKHe Dal par rang machaen shor
- Add to favorites
-
Share this