adil zaidi
Nazm 3
Sher-o-Shayari 11
aañkh lagne na paa.ī sahar ho ga.ī
zindagī be-irāda basar ho ga.ī
aankh lagne na pai sahar ho gai
zindagi be-irada basar ho gai
- Add to favorites
-
Share this
ghaTā.eñ khul ke barsīñ thiiñ chaḌhe the dil ke dariyā bhī
chaḌhe dariyāoñ kā ik din utarnā bhī zarūrī thā
ghaTaen khul ke barsin thin chaDhe the dil ke dariya bhi
chaDhe dariyaon ka ek din utarna bhi zaruri tha
- Add to favorites
-
Share this
jab bhī aañkh lage maiñ dekhūñ ek suhānī sūrat
devī thī vo ruup kī raanī yā patthar kī mūrat
jab bhi aankh lage main dekhun ek suhani surat
dewi thi wo rup ki rani ya patthar ki murat
- Add to favorites
-
Share this
maat khaa.ī hai aksar shaah ne payāde se
farq kuchh nahīñ paḌtā taaj aur libāde se
mat khai hai aksar shah ne payaade se
farq kuchh nahin paDta taj aur libaade se
- Add to favorites
-
Share this
ye sahn-e-arz-e-haram hai ba-ehtiyāt qadam
bahut qarīb ḳhudā hai zarā sañbhal ke chalo
ye sahn-e-arz-e-haram hai ba-ehtiyat qadam
bahut qarib KHuda hai zara sanbhal ke chalo
- Add to favorites
-
Share this