rupaya
duniyā merī dīvānī hai
sūrat jaanī pahchānī hai
bin pairoñ ke chaltā huuñ maiñ
kāġhaz kā ik TukḌā huuñ maiñ
rañg-birañgī sūrat merī
sab ke dil meñ chāhat merī
duniyā bhar meñ paayā jā.ūñ
har mushkil meñ saath nibhā.ūñ
mazdūroñ kā huuñ maiñ pyārā
sāhūkār kī aañkh kā taarā
bachcha bachcha mujh pe fidā hai
būḌhoñ kā dil mujh se lagā hai
duniyā kā har kaam hai mujh se
shohrat mujh se naam hai mujh se
merī tāqat jo aa jaa.e
nirbal ko balvān banā.e
samajh meñ aayā naam mirā kyā
pahchānā kuchh kaam mirā kyā
duniya meri diwani hai
surat jaani pahchani hai
bin pairon ke chalta hun main
kaghaz ka ek TukDa hun main
rang-birangi surat meri
sab ke dil mein chahat meri
duniya bhar mein paya jaun
har mushkil mein sath nibhaun
mazduron ka hun main pyara
sahukar ki aankh ka tara
bachcha bachcha mujh pe fida hai
buDhon ka dil mujh se laga hai
duniya ka har kaam hai mujh se
shohrat mujh se nam hai mujh se
meri taqat jo aa jae
nirbal ko balwan banae
samajh mein aaya nam mera kya
pahchana kuchh kaam mera kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.