Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shayad

Jaun Eliya

shayad

Jaun Eliya

maiñ shāyad tum ko yaksar bhūlne vaalā huuñ

shāyad jān-e-jāñ shāyad

ki ab tum mujh ko pahle se ziyāda yaad aatī ho

hai dil ġhamgīñ bahut ġhamgīñ

ki ab tum yaad dildārāna aatī ho

shamīm-e-dūr-māñda ho

bahut ranjīda ho mujh se

magar phir bhī

mashām-e-jāñ meñ mere āshtī-mandāna aatī ho

judā.ī meñ balā iltifāt-e-mehramāna hai

qayāmat ḳhabar-gīrī hai

behad nāz-bardārī aalam hai

tumhāre rañg mujh meñ aur gahre hote jaate haiñ

maiñ Dartā huuñ

mire ehsās ke is ḳhvāb anjām kyā hogā

ye mere andarūn-e-zāt ke tārāj-gar

jazboñ ke bairī vaqt sāzish na ho koī

tumhāre is tarah har lamha yaad aane se

dil sahmā huā hai

to phir tum kam yaad aao

matā-e-dil matā-e-jāñ to phir tum kam yaad aao

bahut kuchh bah gayā hai sail-e-māh-o-sāl meñ ab tak

sabhī kuchh to na bah jaa.e

ki mere paas rah bhī kyā gayā hai

kuchh to rah jaa.e

main shayad tum ko yaksar bhulne wala hun

shayad jaan-e-jaan shayad

ki ab tum mujh ko pahle se ziyaada yaad aati ho

hai dil ghamgin bahut ghamgin

ki ab tum yaad dildarana aati ho

shamim-e-dur-manda ho

bahut ranjida ho mujh se

magar phir bhi

masham-e-jaan mein mere aashti-mandana aati ho

judai mein bala ka iltifat-e-mehramana hai

qayamat ki KHabar-giri hai

behad naz-bardari ka aalam hai

tumhaare rang mujh mein aur gahre hote jate hain

main Darta hun

mere ehsas ke is KHwab ka anjam kya hoga

ye mere andarun-e-zat ke taraj-gar

jazbon ke bairi waqt ki sazish na ho koi

tumhaare is tarah har lamha yaad aane se

dil sahma hua sa hai

to phir tum kam hi yaad aao

mata-e-dil mata-e-jaan to phir tum kam hi yaad aao

bahut kuchh bah gaya hai sail-e-mah-o-sal mein ab tak

sabhi kuchh to na bah jae

ki mere pas rah bhi kya gaya hai

kuchh to rah jae

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

shayad Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now