Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai sharif insano

Sahir Ludhianvi

ai sharif insano

Sahir Ludhianvi

Interesting Fact

(Written against the backdrop of the Indo-Pakistani war and aired on Tashkent's anniversary)

ḳhuun apnā ho parāyā ho

nasl-e-ādam ḳhuun hai āḳhir

jang mashriq meñ ho ki maġhrib meñ

amn-e-ālam ḳhuun hai āḳhir

bam gharoñ par gireñ ki sarhad par

rūh-e-ta.amīr zaḳhm khātī hai

khet apne jaleñ ki auroñ ke

ziist fāqoñ se tilmilātī hai

tank aage baḌheñ ki pichhe haTeñ

kokh dhartī bāñjh hotī hai

fat.h jashn ho ki haar sog

zindagī mayyatoñ pe rotī hai

jang to ḳhud ek mas.ala hai

jang kyā mas.aloñ hal degī

aag aur ḳhuun aaj baḳhshegī

bhuuk aur ehtiyāj kal degī

is liye ai sharīf insāno

jang Taltī rahe to behtar hai

aap aur ham sabhī ke āñgan meñ

sham' jaltī rahe to behtar hai

2

bartarī ke subūt ḳhātir

ḳhuuñ bahānā kyā zarūrī hai

ghar tārīkiyāñ miTāne ko

ghar jalānā kyā zarūrī hai

jang ke aur bhī to maidāñ haiñ

sirf maidān-e-kisht-o-ḳhūñ nahīñ

hāsil-e-zindagī ḳhirad bhī hai

hāsil-e-zindagī junūñ nahīñ

aao is tīra-baḳht duniyā meñ

fikr raushnī ko 'aam kareñ

amn ko jin se taqviyat pahuñche

aisī jangoñ ehtimām kareñ

jang vahshat se barbariyyat se

amn tahzīb o irtiqā ke liye

jang marg-āfrīñ siyāsat se

amn insān baqā ke liye

jang iflās aur ġhulāmī se

amn behtar nizām ḳhātir

jang bhaTkī huī qayādat se

amn be-bas avaam ḳhātir

jang sarmā.e ke tasallut se

amn jamhūr ḳhushī ke liye

jang jangoñ ke falsafe ke ḳhilāf

amn pur-amn zindagī ke liye

KHun apna ho ya paraya ho

nasl-e-adam ka KHun hai aaKHir

jang mashriq mein ho ki maghrib mein

amn-e-alam ka KHun hai aaKHir

bam gharon par giren ki sarhad par

ruh-e-tamir zaKHm khati hai

khet apne jalen ki auron ke

zist faqon se tilmilati hai

tank aage baDhen ki pichhe haTen

kokh dharti ki banjh hoti hai

fath ka jashn ho ki haar ka sog

zindagi mayyaton pe roti hai

jang to KHud hi ek masala hai

jang kya masalon ka hal degi

aag aur KHun aaj baKHshegi

bhuk aur ehtiyaj kal degi

is liye ai sharif insano

jang Talti rahe to behtar hai

aap aur hum sabhi ke aangan mein

sham' jalti rahe to behtar hai

2

bartari ke subut ki KHatir

KHun bahana hi kya zaruri hai

ghar ki tarikiyan miTane ko

ghar jalana hi kya zaruri hai

jang ke aur bhi to maidan hain

sirf maidan-e-kisht-o-KHun hi nahin

hasil-e-zindagi KHirad bhi hai

hasil-e-zindagi junun hi nahin

aao is tira-baKHt duniya mein

fikr ki raushni ko 'am karen

amn ko jin se taqwiyat pahunche

aisi jangon ka ehtimam karen

jang wahshat se barbariyyat se

amn tahzib o irtiqa ke liye

jang marg-afrin siyasat se

amn insan ki baqa ke liye

jang iflas aur ghulami se

amn behtar nizam ki KHatir

jang bhaTki hui qayaadat se

amn be-bas awam ki KHatir

jang sarmae ke tasallut se

amn jamhur ki KHushi ke liye

jang jangon ke falsafe ke KHilaf

amn pur-amn zindagi ke liye

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Tauseef Akhtar

Tauseef Akhtar

Zulfiqar Ali Bukhari

Zulfiqar Ali Bukhari

Unknown

Unknown

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

Ai shareef insano - sahir ludhianvi Nomaan Shauque

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 210)
  • Author : SAHIR LUDHIANVI
  • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now