do sauñdhe sauñdhe se jism jis vaqt
ek muTThī meñ so rahe the
laboñ kī maddham tavīl sargoshiyoñ meñ sāñseñ ulajh ga.ī thiiñ
muñde hue sāhiloñ pe jaise kahīñ bahut duur
ThanDā sāvan baras rahā thā
bas ek ruuh hī jāgtī thī
batā tū us vaqt maiñ kahāñ thaa?
batā tū us vaqt tū kahāñ thii?
do saundhe saundhe se jism jis waqt
ek muTThi mein so rahe the
labon ki maddham tawil sargoshiyon mein sansen ulajh gai thin
munde hue sahilon pe jaise kahin bahut dur
ThanDa sawan baras raha tha
bas ek ruh hi jagti thi
bata tu us waqt main kahan tha?
bata tu us waqt tu kahan thi?
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 119)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.