baz-gasht
ḳhāmushī reñgtī hai rāhoñ par
ek afsūñ-ba-dosh ḳhvāb liye
raat ruk ruk ke saañs letī hai
apnī zulmat kā bojh uThā.e hue
muzmahil chāñd kī shuāoñ meñ
biite lamhoñ kī yaad raqsāñ hai
jaane kin māh-o-sāl kā saaya
vaqt kī āhaToñ pe larzāñ hai
ek yaad ik tasavvur-e-rafta
sīna-e-māh se ubhartā hai
hai ye sarshārī-e-hayāt kā rañg
dard kin manziloñ se guzrā hai
KHamushi rengti hai rahon par
ek afsun-ba-dosh KHwab liye
raat ruk ruk ke sans leti hai
apni zulmat ka bojh uThae hue
muzmahil chand ki shuaon mein
bite lamhon ki yaad raqsan hai
jaane kin mah-o-sal ka saya
waqt ki aahaTon pe larzan hai
ek yaad ek tasawwur-e-rafta
sina-e-mah se ubharta hai
hai ye sarshaari-e-hayat ka rang
dard kin manzilon se guzra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.