do ufuq
maiñ 'ufuq kī talāsh meñ niklā
shāh-rāhoñ pe maiñ akelā thā
ham-safar koī thā agar merā
vo kisī aur ajnabī rah par
Thiik merī tarah akelā thā
mujh ko aksar ḳhayāl aatā thā
ham-safar kaash mujh ko mil jaa.e
ik 'ufuq ko phalāñg jaate ham
us masāfat kī intihā par kal
aarzū ek aur kī karte
apne apne safar kī majbūrī
lamha lamha pukārtī duurī
dīda-o-dil meñ hasrat-e-paiham
ik 'ufuq ko thā dūsre kā ġham
maiñ akelā huuñ vo akelā hai
vo mirā ham-safar kahāñ hogā
vo mirā ham-safar kahāñ hogā
main 'ufuq ki talash mein nikla
shah-rahon pe main akela tha
ham-safar koi tha agar mera
wo kisi aur ajnabi rah par
Thik meri tarah akela tha
mujh ko aksar KHayal aata tha
ham-safar kash mujh ko mil jae
ek 'ufuq ko phalang jate hum
us masafat ki intiha par kal
aarzu ek aur ki karte
apne apne safar ki majburi
lamha lamha pukarti duri
dida-o-dil mein hasrat-e-paiham
ek 'ufuq ko tha dusre ka gham
main akela hun wo akela hai
wo mera ham-safar kahan hoga
wo mera ham-safar kahan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.