badan se bahar
sukūñ kā mausam hai
sukh ke bechain sard jhoñke
na dukh ke sāyoñ kī garm lazzat
faqat nigāhoñ ke sāmne Dūbte ubharte
'ajab manāzir
inhī manāzir kī vus'atoñ meñ
tirā hī jaadū hai
aur tū hai
inhī manāzir kī vus'atoñ meñ
sukūñ kā mausam hai
aur maiñ huuñ
sukun ka mausam hai
sukh ke bechain sard jhonke
na dukh ke sayon ki garm lazzat
faqat nigahon ke samne Dubte ubharte
'ajab manazir
inhi manazir ki wus'aton mein
tera hi jadu hai
aur tu hai
inhi manazir ki wus'aton mein
sukun ka mausam hai
aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.