intizar
guzar rahe haiñ shab o roz tum nahīñ ātīñ
riyāz-e-zīst hai āzurda-e-bahār abhī
mire ḳhayāl kī duniyā hai sogvār abhī
jo hasrateñ tire ġham kī kafīl haiñ pyārī
abhī talak mirī tanhā.iyoñ meñ bastī haiñ
tavīl rāteñ abhī tak tavīl haiñ pyārī
udaas āñkheñ tirī diid ko tarastī haiñ
bahār-e-husn pe pābandī-e-jafā kab tak
ye āzmā.ish-e-sabr-e-gurez-pā kab tak
qasam tumhārī bahut ġham uThā chukā huuñ maiñ
ġhalat thā da.ava-e-sabr-o-shakeb aa jaao
qarār-e-ḳhātir-e-betāb thak gayā huuñ maiñ
guzar rahe hain shab o roz tum nahin aatin
riyaz-e-zist hai aazurda-e-bahaar abhi
mere KHayal ki duniya hai sogwar abhi
jo hasraten tere gham ki kafil hain pyari
abhi talak meri tanhaiyon mein basti hain
tawil raaten abhi tak tawil hain pyari
udas aankhen teri did ko tarasti hain
bahaar-e-husn pe pabandi-e-jafa kab tak
ye aazmaish-e-sabr-e-gurez-pa kab tak
qasam tumhaari bahut gham uTha chuka hun main
ghalat tha dawa-e-sabr-o-shakeb aa jao
qarar-e-KHatir-e-betab thak gaya hun main
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 38)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.