darvāza-e-jāñ se ho kar
chupke se idhar aa jaao
is barf bharī borī ko
pīchhe kī taraf sarkāo
har ghaav pe bose chiḌko
har zaḳhm ko tum sahlāo
maiñ tāroñ kī is shab ko
taqsīm karūñ yuuñ sab ko
jāgīr ho jaise merī
ye arz na tum Thukrāo
chupke se idhar aa jaao
darwaza-e-jaan se ho kar
chupke se idhar aa jao
is barf bhari bori ko
pichhe ki taraf sarkao
har ghaw pe bose chiDko
har zaKHm ko tum sahlao
main taron ki is shab ko
taqsim karun yun sab ko
jagir ho jaise meri
ye arz na tum Thukrao
chupke se idhar aa jao
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 541)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.