Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waba ke dinon mein 6

Arsalan Ahmad

waba ke dinon mein 6

Arsalan Ahmad

MORE BYArsalan Ahmad

    Interesting Fact

    (Changes in lives)

    haath milāne rasm

    tab ījād huī

    jab hathiyār pheñknā

    sīkhā chukā thā

    aur baġhloñ meñ chhuriyāñ

    aam hone lagī thiiñ

    zindagiyoñ meñ badlāv aayā

    jāpāniyoñ ne duur se jhuk kar salām kahnā sīkhā

    dushman aur dost se munāsib fāsla

    hamesha banā.e rakkhā

    atomī tāqat se tabāh kiye ga.e

    zindagiyoñ meñ badlāv aayā

    ahal-e-fāras ne chūhe se

    tā.ūn ta.alluq pahchānā

    na.ash ko kaaT kar a.azā naqsha banāyā

    pahlī jarrāhī

    aur murdoñ be-hurmatī pādāsh meñ

    bū-alī-sīnā ko sazā

    zindagiyoñ meñ badlāv aayā

    francisiyoñ ne chālīs din quarantine ījād kiyā

    bandar-gāhoñ par bīmāriyoñ visa cancel huā

    sehat-mand insānoñ ko visa milne lagā

    zindagiyoñ meñ badlāv aayā

    yahūd manDī meñ

    sone ke sikke insānoñ se kam paḌ ga.e

    kāġhaz note ījād huā

    aur phir sab adyān

    e'tibār āyāt ko

    noToñ par likh diyā gayā

    zindagiyoñ meñ badlāo aayā

    agle na.e badlāo ke liye

    stage tayyār karne meñ

    vabā madad karo

    hath milane ki rasm

    tab ijad hui

    jab hathiyar phenkna

    sikha ja chuka tha

    aur baghlon mein chhuriyan

    aam hone lagi thin

    zindagiyon mein badlaw aaya

    japaniyon ne dur se jhuk kar salam kahna sikha

    dushman aur dost se munasib fasla

    hamesha banae rakkha

    atomi taqat se tabah kiye gae

    zindagiyon mein badlaw aaya

    ahal-e-faras ne chuhe se

    taun ka talluq pahchana

    nash ko kaT kar aaza ka naqsha banaya

    pahli jarrahi ki

    aur murdon ki be-hurmati ki padash mein

    bu-ali-sina ko saza di

    zindagiyon mein badlaw aaya

    francisiyon ne chaalis din ka quarantine ijad kiya

    bandar-gahon par bimariyon ka wisa cancel hua

    sehat-mand insanon ko wisa milne laga

    zindagiyon mein badlaw aaya

    yahud ki manDi mein

    sone ke sikke insanon se kam paD gae

    kaghaz ka note ijad hua

    aur phir sab adyan ki

    e'tibar ki aayat ko

    noTon par likh diya gaya

    zindagiyon mein badlao aaya

    agle nae badlao ke liye

    stage tayyar karne mein

    waba ki madad karo

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now