Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main pal do pal ka shair hun

Sahir Ludhianvi

main pal do pal ka shair hun

Sahir Ludhianvi

maiñ pal do pal shā'ir huuñ pal do pal mirī kahānī hai

pal do pal merī hastī hai pal do pal mirī javānī hai

mujh se pahle kitne shā'ir aa.e aur aa kar chale ga.e

kuchh aaheñ bhar kar lauT ga.e kuchh naġhme kar chale ga.e

vo bhī ik pal qissa the maiñ bhī ik pal qissa huuñ

kal tum se judā ho jā.ūñgā go aaj tumhārā hissa huuñ

pal do pal meñ kuchh kah paayā itnī sa'ādat kaafī hai

pal do pal tum ne mujh ko sunā itnī ‘ināyat kaafī hai

kal aur ā.eñge naġhmoñ khiltī kaliyāñ chunñe vaale

mujh se behtar kahne vaale tum se behtar sunñe vaale

har nasl ik fasl hai dhartī aaj ugtī hai kal kaTtī hai

jīvan vo mahñgī madirā hai jo qatra qatra baTtī hai

sāgar se ubhrī lahar huuñ maiñ sāgar meñ phir kho jā.ūñgā

miTTī ruuh sapnā huuñ miTTī meñ phir so jā.ūñgā

kal koī mujh ko yaad kare kyuuñ koī mujh ko yaad kare

masrūf zamāna mere liye kyuuñ vaqt apnā barbād kare

main pal do pal ka sha'ir hun pal do pal meri kahani hai

pal do pal meri hasti hai pal do pal meri jawani hai

mujh se pahle kitne sha'ir aae aur aa kar chale gae

kuchh aahen bhar kar lauT gae kuchh naghme ga kar chale gae

wo bhi ek pal ka qissa the main bhi ek pal ka qissa hun

kal tum se juda ho jaunga go aaj tumhaara hissa hun

pal do pal mein kuchh kah paya itni hi sa'adat kafi hai

pal do pal tum ne mujh ko suna itni hi ‘inayat kafi hai

kal aur aaenge naghmon ki khilti kaliyan chunne wale

mujh se behtar kahne wale tum se behtar sunne wale

har nasl ek fasl hai dharti ki aaj ugti hai kal kaTti hai

jiwan wo mahngi madira hai jo qatra qatra baTti hai

sagar se ubhri lahar hun main sagar mein phir kho jaunga

miTTi ki ruh ka sapna hun miTTi mein phir so jaunga

kal koi mujh ko yaad kare kyun koi mujh ko yaad kare

masruf zamana mere liye kyun waqt apna barbaad kare

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 246)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now