Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

banjara-nama

Nazeer Akbarabadi

banjara-nama

Nazeer Akbarabadi

Interesting Fact

'Banjara-nama' is a famous Urdu poem by Nazeer Akhbarabadi, an Indian poet from the eighteenth century. It satirically conveys the message that worldly success is foolish and temporary, reminding us of the certainty of death for all. Film: Sankalp (1974)

Tuk hirs-o-havā ko chhoḌ miyāñ mat des bides phire maarā

qazzāq ajal luuTe hai din raat bajā kar naqqārā

kyā badhiyā bhaiñsā bail shutur kyā gauneñ pallā sar-bhārā

kyā gehūñ chāñval moTh maTar kyā aag dhuāñ aur añgārā

sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā

gar to hai lakkhī banjārā aur khep bhī terī bhārī hai

ai ġhāfil tujh se bhī chaḌhtā ik aur baḌā byopārī hai

kyā shakkar misrī qand garī kyā sāñbhar mīThā khārī hai

kyā daakh munaqqā soñTh mirach kyā kesar lauñg supārī hai

sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā

badhiyā laade bail bhare jo pūrab pachchham jāvegā

suud baḌhā kar lāvegā TuuTā ghāTā pāvegā

qazzāq ajal raste meñ jab bhālā maar girāvegā

dhan daulat naatī potā kyā ik kumba kaam na āvegā

sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā

har manzil meñ ab saath tire ye jitnā Derā-DāñDā hai

zar dām-diram bhāñDā hai bandūq sipar aur khāñDā hai

jab nāyak tan nikal gayā jo mulkoñ mulkoñ hāñDā hai

phir hāñDā hai na bhāñDā hai na halvā hai na māñDā hai

sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā

jab chalte chalte raste meñ ye gaun tirī rah jāvegī

ik badhiyā terī miTTī par phir ghaas na charne āvegī

ye khep jo ne laadī hai sab hissoñ meñ baT jāvegī

dhī puut jañvā.ī beTā kyā banjāran paas na āvegī

sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā

ye khep bhare jo jaatā hai ye khep miyāñ mat gin apnī

ab koī ghaḌī pal sā'at meñ ye khep badan hai kafanī

kyā thaal kaTorī chāñdī kyā pītal Dibyā-Dhaknī

kyā bartan sone chāñdī ke kyā miTTī hañDiyā chīnī

sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chale banjārā

ye dhūm-dhaḌakkā saath liye kyuuñ phirtā hai jangal jangal

ik tinkā saath na jāvegā mauqūf huā jab ann aur jal

ghar-bār aTārī chaupārī kyā ḳhāsā nain-sukh aur malmal

chalvan parde farsh na.e kyā laal palañg aur rañg-mahal

sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā

kuchh kaam na āvegā tere ye lāl-o-zamurrad sīm-o-zar

jab pūñjī baaT meñ bikhregī har aan banegī jaan uupar

naubat naqqāre baan nishān daulat hashmat faujeñ lashkar

kyā masnad takiya mulk makāñ kyā chaukī kursī taḳht chhatar

sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā

kyuuñ par bojh uThātā hai in gaunoñ bhārī bhārī ke

jab maut Derā aan paḌā phir duune haiñ byopārī ke

kyā saaz jaḌāo zar-zevar kyā goTe thaan kanārī ke

kyā ghoḌe ziin sunahrī ke kyā hāthī laal amārī ke

sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā

mafrūr na ho talvāroñ par mat phuul bharose Dhāloñ ke

sab paTTā toḌ ke bhāgeñge muñh dekh ajal ke bhāloñ ke

kyā Dabbe motī hīroñ ke kyā Dher ḳhazāne māloñ ke

kyā buġhche taash moshajjar ke kyā taḳhte shaal doshāloñ ke

sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā

kyā saḳht makāñ banvātā hai ḳham tere tan hai polā

ūñche coat uThātā hai vaañ gor gaḌhe ne muñh kholā

kyā renī ḳhandaq rand baḌe kyā brij kañgūrā anmolā

gaḌ.h coat rahakla top qila kyā shīsha daarū aur golā

sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā

har aan naf.a aur ToTe meñ kyuuñ martā phirtā hai ban ban

Tak ġhāfil dil meñ soch zarā hai saath lagā tere dushman

kyā lauñDī bāñdī daa.ī davā kyā bandā chelā nek-chalan

kyā mandar masjid taal kuaañ kyā khetī baaḌī phuul chaman

sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā

jab marg phirā kar chābuk ko ye bail badan hāñkegā

koī naaj sameTegā terā koī gaun siye aur Tāñkegā

ho Dher akelā jangal meñ ḳhaak lahad phāñkegā

us jangal meñ phir aah 'nazīr' ik tinkā aan na jhāñkegā

sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā

Tuk hirs-o-hawa ko chhoD miyan mat des bides phire mara

qazzaq ajal ka luTe hai din raat baja kar naqqara

kya badhiya bhainsa bail shutur kya gaunen palla sar-bhaara

kya gehun chanwal moTh maTar kya aag dhuan aur angara

sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara

gar to hai lakkhi banjara aur khep bhi teri bhaari hai

ai ghafil tujh se bhi chaDhta ek aur baDa byopari hai

kya shakkar misri qand gari kya sanbhar miTha khaari hai

kya dakh munaqqa sonTh mirach kya kesar laung supari hai

sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara

tu badhiya lade bail bhare jo purab pachchham jawega

ya sud baDha kar lawega ya TuTa ghaTa pawega

qazzaq ajal ka raste mein jab bhaala mar girawega

dhan daulat nati pota kya ek kumba kaam na aawega

sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara

har manzil mein ab sath tere ye jitna Dera-DanDa hai

zar dam-diram ka bhanDa hai banduq sipar aur khanDa hai

jab nayak tan ka nikal gaya jo mulkon mulkon hanDa hai

phir hanDa hai na bhanDa hai na halwa hai na manDa hai

sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara

jab chalte chalte raste mein ye gaun teri rah jawegi

ek badhiya teri miTTi par phir ghas na charne aawegi

ye khep jo tu ne ladi hai sab hisson mein baT jawegi

dhi put janwai beTa kya banjaran pas na aawegi

sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara

ye khep bhare jo jata hai ye khep miyan mat gin apni

ab koi ghaDi pal sa'at mein ye khep badan ki hai kafani

kya thaal kaTori chandi ki kya pital ki Dibya-Dhakni

kya bartan sone chandi ke kya miTTi ki hanDiya chini

sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chale ga banjara

ye dhum-dhaDakka sath liye kyun phirta hai jangal jangal

ek tinka sath na jawega mauquf hua jab ann aur jal

ghar-bar aTari chaupari kya KHasa nain-sukh aur malmal

chalwan parde farsh nae kya lal palang aur rang-mahal

sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara

kuchh kaam na aawega tere ye lal-o-zamurrad sim-o-zar

jab punji baT mein bikhregi har aan banegi jaan upar

naubat naqqare ban nishan daulat hashmat faujen lashkar

kya masnad takiya mulk makan kya chauki kursi taKHt chhatar

sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara

kyun ji par bojh uThata hai in gaunon bhaari bhaari ke

jab maut ka Dera aan paDa phir dune hain byopari ke

kya saz jaDao zar-zewar kya goTe than kanari ke

kya ghoDe zin sunahri ke kya hathi lal amari ke

sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara

mafrur na ho talwaron par mat phul bharose Dhaalon ke

sab paTTa toD ke bhagenge munh dekh ajal ke bhaalon ke

kya Dabbe moti hiron ke kya Dher KHazane malon ke

kya bughche tash moshajjar ke kya taKHte shaal doshaalon ke

sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara

kya saKHt makan banwata hai KHam tere tan ka hai pola

tu unche coat uThata hai wan gor gaDhe ne munh khola

kya reni KHandaq rand baDe kya brij kangura anmola

gaDh coat rahakla top qila kya shisha daru aur gola

sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara

har aan nafa aur ToTe mein kyun marta phirta hai ban ban

Tak ghafil dil mein soch zara hai sath laga tere dushman

kya launDi bandi dai dawa kya banda chela nek-chalan

kya mandar masjid tal kuan kya kheti baDi phul chaman

sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara

jab marg phira kar chabuk ko ye bail badan ka hankega

koi naj sameTega tera koi gaun siye aur Tankega

ho Dher akela jangal mein tu KHak lahad ki phankega

us jangal mein phir aah 'nazir' ek tinka aan na jhankega

sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Mukesh

Mukesh

Sudhir Narayan

Sudhir Narayan

Mehdi Zaheer

Mehdi Zaheer

Unknown

Unknown

Unknown

Unknown

RECITATIONS

Hamida Chopra

Hamida Chopra,

Shamsur Rahman Faruqi

Shamsur Rahman Faruqi,

Hamida Chopra

banjaara-naama Hamida Chopra

Shamsur Rahman Faruqi

banjara-nama Shamsur Rahman Faruqi

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now