Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bambai

sabz-o-shādāb sāhil

ret ke aur paanī ke giit

muskurāte samundar sayyāl chehra

chāñd sūraj ke TukḌe

lākhoñ ā.īne maujoñ meñ bikhre hue

kashtiyāñ bādbānoñ ke āñchal meñ apne saroñ ko chhupā.e hue

jaal niile samundar meñ Duube hue

ḳhaak par sūkhtī machhliyāñ

ghāTneñ pattharoñ vo tarshī huī mūrateñ

elephanta ke ġhāroñ se jo raqs kartī nikal aa.ī haiñ

rāteñ āñkhoñ meñ jaadū kājal lagā.e hue

shāmeñ niilī havā namī meñ nahā.ī huī

sub.heñ shabnam ke bārīk malbūs pahne hue

ḳhvāb-ālud kohsār ke silsile

jañgaloñ ke ghane saa.e

miTTī ḳhushbū

mahaktī huī koñpleñ

pattharoñ chaTTāneñ

apnī bāñhoñ ko bahr-e-arab meñ sameTe hue

vo chaTānoñ pe rakkhe hue ūñche ūñche mahl

chiknī dīvāroñ par

qatl, ġhārat-garī, buzdilī, nafa.a-ḳhorī parchhā.iyāñ

reshmī sāriyāñ

maḳhmalīñ jism, zahrīle nāḳhūnoñ billiyāñ

ḳhuun pyaas khādī ke pairāhanoñ meñ

jagmagāte hue qumqume, park, bāġhāt aur museum

sañg-e-marmar ke but, dhaat ke aadmī

sard o sañgīn azmat ke paikar

āñkheñ be-nūr, lab be-sadā, haath be-jān

hind bebasī aur mahkūmī yādgāreñ

saikḌoñ saal ke garm ātish-kade

zar o sandal aag

ūd-o-ambar ke shole

''chāleñ'' iflās gard, tārīkiyāñ

gandagī aur ufūnat

ghūre saḌte hue

rahguzāroñ pe sote hue aadmī

TaaT par, aur kāġhaz ke TukḌoñ pe phaile hue jism, sūkhe hue haath

zaḳhm āstīnoñ se niklī huī haDDiyāñ

koḌhiyoñ ke hujūm

''kholiyāñ'' jaise andhe kueñ

garm sīnoñ, mohabbat godoñ se mahrūm bachche

bakriyoñ tarah rassiyoñ se bañdhe

un maa.eñ abhī kār-ḳhānoñ se vāpas nahīñ aa.ī haiñ

chimniyāñ bhutniyoñ tarah baal khole hue

kār-ḳhāne garajte hue

ḳhuun aur pasīne meñ sharābor

ḳhuun sarmāya-dārī ke nāloñ meñ bahtā huā

bhaTTiyoñ meñ ubaltā huā

sard sikkoñ sūrat meñ jamtā huā

sone chāñdī meñ tabdīl hotā huā

bañk khiḌkiyoñ meñ charāġhāñ

saḌkeñ din raat chaltī huī

saañs letī huī

aadmī ḳhvāhishoñ ke añdhere nasheboñ meñ sailāb tarah bahte hue

chor-bāzār, saTTā, juārī

race ke ghoḌe, sarkār ke mantarī

cinema, laḌkiyāñ, actor, masḳhare

ek ik chiiz biktī huī

gājareñ, mūliyāñ, kakḌiyāñ

jism aur zehn aur shā.erī

ilm, hikmat, siyāsat

añkhḌiyoñ aur hoñToñ ke nīlām-ghar

ārizoñ dukāneñ

bāzuoñ aur sīnoñ ke bāzār

piñDliyoñ aur rānoñ ke godām

desh-bhagtī ke dalāl khādī ke byopārī

aql, insāf, pākīzgī, aur sadāqat ke tājir

ye hai hindostāñ urūsul-bilād

sar-zamīn-e-dakan dulhan bamba.ī

ek jannat jahannam āġhosh meñ

ise yuuñ kahūñ

ek dozaḳh hai firdaus god meñ

ye mirā shahr hai

go mirā jism is ḳhāk-dāñ se nahīñ

merī miTTī yahāñ se bahut duur gañgā ke paanī se gūñdhī ga.ī hai

mere dil meñ himāla ke phūloñ ḳhushbū basī hai

phir bhī ai bamba.ī mirā shahr hai

tere bāġhāt meñ merī yādoñ ke kitne ram-ḳhurda aahū

maiñ ne tere pahāḌoñ ThanDī havā khaa.ī hai

terī shaffāf jhīloñ paanī piyā hai

tere sāhil hañstī huī sīpiyāñ mujh ko pahchāntī haiñ

nāriyal ke daraḳhtoñ lambī qatāreñ

tere niile samundar ke tūfān aur qahqahe

tere dilkash mazāfāt ke sabza-zāroñ ḳhāmoshiyāñ

rañgateñ, nik.hateñ, sab mujhe jāntī haiñ

is jagah mere ḳhvāboñ ko āñkheñ milīñ

aur merī mohabbat ke bosoñ ne apne hasīn hoñT hāsil kiye

bamba.ī

tere siine meñ sarmā.e zahr bhī

inqalāb aur baġhāvat tiryāq bhī

tere pahlū meñ faulād qalb hai

terī nabzoñ meñ mazdūr o mallāh ḳhuun hai

terī āġhosh meñ kār-ḳhānoñ duniyā basī hai

sevri, lāl-bāġh aur parel

aur yahāñ tere beTe tirī beTiyāñ

in dikhtī huī uñgliyāñ

suut ke ek ik taar se

mulk ke qātiloñ kafan bun rahī haiñ

sabz-o-shadab sahil

ret ke aur pani ke git

muskuraate samundar ka sayyal chehra

chand suraj ke TukDe

lakhon aaine maujon mein bikhre hue

kashtiyan baadbanon ke aanchal mein apne saron ko chhupae hue

jal nile samundar mein Dube hue

KHak par sukhti machhliyan

ghaTnen pattharon ki wo tarshi hui muraten

elephanta ke ghaaron se jo raqs karti nikal aai hain

raaten aankhon mein jadu ka kajal lagae hue

shamen nili hawa ki nami mein nahai hui

subhen shabnam ke barik malbus pahne hue

KHwab-alud kohsar ke silsile

jangalon ke ghane sae

miTTi ki KHushbu

mahakti hui konplen

pattharon ki chaTTanen

apni banhon ko bahr-e-arab mein sameTe hue

wo chaTanon pe rakkhe hue unche unche mahl

chikni diwaron par

qatl, ghaarat-gari, buzdili, nafa-KHori ki parchhaiyan

reshmi sariyan

maKHmalin jism, zahrile naKHunon ki billiyan

KHun ki pyas khadi ke pairahanon mein

jagmagate hue qumqume, park, baghat aur museum

sang-e-marmar ke but, dhat ke aadmi

sard o sangin azmat ke paikar

aankhen be-nur, lab be-sada, hath be-jaan

hind ki bebasi aur mahkumi ki yaadgaren

saikDon sal ke garm aatish-kade

zar o sandal ki aag

ud-o-ambar ke shole

chaalen iflas ki gard, tarikiyan

gandagi aur ufunat

ghure saDte hue

rahguzaron pe sote hue aadmi

TaT par, aur kaghaz ke TukDon pe phaile hue jism, sukhe hue hath

zaKHm ki aastinon se nikli hui haDDiyan

koDhiyon ke hujum

kholiyan jaise andhe kuen

garm sinon, mohabbat ki godon se mahrum bachche

bakriyon ki tarah rassiyon se bandhe

un ki maen abhi kar-KHanon se wapas nahin aai hain

chimniyan bhutniyon ki tarah baal khole hue

kar-KHane garajte hue

KHun ki aur pasine ki bu mein sharabor

KHun sarmaya-dari ke nalon mein bahta hua

bhaTTiyon mein ubalta hua

sard sikkon ki surat mein jamta hua

sone chandi mein tabdil hota hua

bank ki khiDkiyon mein charaghan

saDken din raat chalti hui

sans leti hui

aadmi KHwahishon ke andhere nashebon mein sailab ki tarah bahte hue

chor-bazar, saTTa, juari

race ke ghoDe, sarkar ke mantari

cinema, laDkiyan, actor, masKHare

ek ek chiz bikti hui

gajaren, muliyan, kakDiyan

jism aur zehn aur shaeri

ilm, hikmat, siyasat

ankhDiyon aur honTon ke nilam-ghar

aarizon ki dukanen

bazuon aur sinon ke bazar

pinDliyon aur ranon ke godam

desh-bhagti ke dalal khadi ke byopari

aql, insaf, pakizgi, aur sadaqat ke tajir

ye hai hindostan ki urusul-bilad

sar-zamin-e-dakan ki dulhan bambai

ek jannat jahannam ki aaghosh mein

ya ise yun kahun

ek dozaKH hai firdaus ki god mein

ye mera shahr hai

go mera jism is KHak-dan se nahin

meri miTTi yahan se bahut dur ganga ke pani se gundhi gai hai

mere dil mein himala ke phulon ki KHushbu basi hai

phir bhi ai bambai tu mera shahr hai

tere baghat mein meri yaadon ke kitne hi ram-KHurda aahu

main ne tere pahaDon ki ThanDi hawa khai hai

teri shaffaf jhilon ka pani piya hai

tere sahil ki hansti hui sipiyan mujh ko pahchanti hain

nariyal ke daraKHton ki lambi qataren

tere nile samundar ke tufan aur qahqahe

tere dilkash mazafat ke sabza-zaron ki KHamoshiyan

rangaten, nikhaten, sab mujhe jaanti hain

is jagah mere KHwabon ko aankhen milin

aur meri mohabbat ke boson ne apne hasin honT hasil kiye

bambai

tere sine mein sarmae ka zahr bhi

inqalab aur baghawat ka tiryaq bhi

tere pahlu mein faulad ka qalb hai

teri nabzon mein mazdur o mallah ka KHun hai

teri aaghosh mein kar-KHanon ki duniya basi hai

sewri, lal-bagh aur parel

aur yahan tere beTe teri beTiyan

in ki dikhti hui ungliyan

sut ke ek ek tar se

mulk ke qatilon ka kafan bun rahi hain

Source :
  • Book : Ek Khvab aur (Pg. 41)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now