Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDa shahr

Zia Jalandhari

baDa shahr

Zia Jalandhari

karachi kisī dev-qad kekḌe tarah

samundar ke sāhil pe paañv pasāre paḌā hai

naseñ us faulād-o-āhan

badan ret cement patthar

baseñ Texiyāñ kāreñ rickshaw ragoñ meñ lahū bajā.e ravāñ

jism par jā-ba-jā daaġh daldal-numā

jahāñ ankabūt apne tāroñ se bunte haiñ bankoñ ke jaal

ki un meñ shumāl aur mashriq se aa.e hue

ishtihā aur ḳhvāboñ ke maare magas

phaḌ.phaḌāte raheñ

mustaqil ālam-e-jāñ-kanī meñ raheñ

shaam hote is nam-ālūd aur khurdurī khaal se

is ke be-Dhañg a.azā se

ishva-faroshoñ ke pairāhanoñ tarah

raushnī phūTtī hai

ye vo shahr-e-ḳhud-mutma.in hai

jo apne dil shaqāvat pe shaidā rahā

maiñ chāhat ke phūloñ bhare jañgaloñ se jab aayā

to is shahr piiTh

majlis dīvār tarah merī taraf thī

maiñ shiddat tanhā.ī meñ

āshnā harf ārzū-mand

paiham taġhāful se ranjīda be-dil

yahāñ ke rusūm aur ādāb se be-ḳhabar

nāḳhunoñ se zamīn khod kar

āñsuoñ namī se use sīñch kar

harf kaliyoñ ummīd meñ

dard boltā rahā

ka.ī baar maiñ ne samundar bhīgī havāoñ se pūchhā

ki ai ḳhush-nafas rahravo

tum is tarah begāna-vash kyuuñ guzartī ho

pal bhar ruko

koī taskīñ paiġhām do

aur apnā ye amrit haath

dukhe dil pe rakh do

pa vo shahr saañs meñ

enginoñ ke dhueñ kasāfat se afsurda

āñkheñ churā.e guzartī rahīñ

ka.ī baar yuuñ bhī huā hai

ki maiñ aur ye shahr ik mushtarak dukh zanjīr meñ bañdh ga.e

aur mujhe ye gumāñ huā

ki ab ajnabiyyat dīvār girne ko hai

abhī us namnāk āñkheñ kaheñgī ki ham ek haiñ

lamha-e-dard saath sab se baḌā saath hai

magar maiñ ne dekhā ki is vaqt bhī

us pathrā.ī āñkhoñ meñ

aks-e-shanāsā.ī nāpaid thā

aur ab jab maiñ is shahr se rahā huuñ

to is darāñtī bāñhoñ ke dandāne

mere rag-o-pai meñ utre hue haiñ

karachi kisi dew-qad kekDe ki tarah

samundar ke sahil pe panw pasare paDa hai

nasen us ki faulad-o-ahan

badan ret cement patthar

basen Texiyan karen rickshaw ragon mein lahu ki bajae rawan

jism par ja-ba-ja dagh daldal-numa

jahan ankabut apne taron se bunte hain bankon ke jal

ki un mein shumal aur mashriq se aae hue

ishtiha aur KHwabon ke mare magas

phaDphaDate rahen

mustaqil aalam-e-jaan-kani mein rahen

sham hote hi is ki nam-alud aur khurduri khaal se

is ke be-Dhang aaza se

ishwa-faroshon ke pairahanon ki tarah

raushni phuTti hai

ye wo shahr-e-KHud-mutmain hai

jo apne hi dil ki shaqawat pe shaida raha

main chahat ke phulon bhare jangalon se jab aaya

to is shahr ki piTh

majlis ki diwar ki tarah meri taraf thi

main shiddat ki tanhai mein

aashna harf ka aarzu-mand

paiham taghaful se ranjida be-dil

yahan ke rusum aur aadab se be-KHabar

naKHunon se zamin khod kar

aansuon ki nami se use sinch kar

harf kaliyon ki ummid mein

dard bolta raha

kai bar main ne samundar ki bhigi hawaon se puchha

ki ai KHush-nafas rahrawo

tum is tarah begana-wash kyun guzarti ho

pal bhar ruko

koi taskin ka paigham do

aur apna ye amrit sa hath

dukhe dil pe rakh do

pa wo shahr ki sans mein

enginon ke dhuen ki kasafat se afsurda

aankhen churae guzarti rahin

kai bar yun bhi hua hai

ki main aur ye shahr ek mushtarak dukh ki zanjir mein bandh gae

aur mujhe ye guman sa hua

ki ab ajnabiyyat ki diwar girne ko hai

abhi us ki namnak aankhen kahengi ki hum ek hain

lamha-e-dard ka sath sab se baDa sath hai

magar main ne dekha ki is waqt bhi

us ki pathrai aankhon mein

aks-e-shanasai napaid tha

aur ab jab main is shahr se ja raha hun

to is ki daranti si banhon ke dandane

mere rag-o-pai mein utre hue hain

Source :
  • Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 240)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now