jaDe ki bahaaren
jab maah aghan kā Dhaltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe kī
aur hañs hañs puus sambhaltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe kī
din jaldī jaldī chaltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe kī
aur paalā barf pighaltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe kī
chillā ġham Thoñk uchhaltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe kī
tan Thokar maar pichhāḌā ho aur dil se hotī ho kushtī sī
thar-thar kā zor ukhāḌā ho bajtī ho sab kī battīsī
ho shor phaphū hū-hū kā aur dhuum ho sī-sī sī-sī kī
kalle pe kallā lag lag kar chaltī ho muñh meñ chakkī sī
har daañt chane se daltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe kī
har ek makāñ meñ sardī ne aa bāñdh diyā ho ye chakkar
jo har dam kap-kap hotī ho har aan kaḌākaḌ aur thar-thar
paiThī ho sardī rag rag meñ aur barf pighaltā ho patthar
jhaḌ-bāñdh mahāvaT paḌtī ho aur tis par lahreñ le le kar
sannāTā baav kā chaltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe kī
har chaar taraf se sardī ho aur sehn khulā ho koThe kā
aur tan meñ niimā shabnam kā ho jis meñ ḳhas kā itr lagā
chhiḌkāv huā ho paanī kā aur ḳhuub palañg bhī ho bhīgā
hāthoñ meñ piyāla sharbat kā ho aage ik farrāsh khaḌā
farrāsh bhī pañkhā jhaltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe kī
jab aisī sardī ho ai dil tab roz maze kī ghāteñ hoñ
kuchh narm bichhaune maḳhmal ke kuchh aish kī lambī rāteñ hoñ
mahbūb gale se lipTā ho aur kuhnī, chuTkī, lāteñ hoñ
kuchh bose milte jaate hoñ kuchh mīThī mīThī bāteñ hoñ
dil aish-o-tarab meñ paltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe kī
ho farsh bichhā ġhālīchoñ kā aur parde chhoTe hoñ aa kar
ik garm añgīThī jaltī ho aur sham.a ho raushan aur tis par
vo dilbar, shoḳh, parī, chanchal, hai dhuum machī jis kī ghar ghar
resham kī narm nihālī par sau nāz-o-adā se hañs hañs kar
pahlū ke biich machaltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe kī
tarkīb banī ho majlis kī aur kāfir nāchne vaale hoñ
muñh un ke chāñd ke TukḌe hoñ tan un ke ruuī ke gaale hoñ
poshākeñ nāzuk rañgoñ kī aur oḌhe shaal do-shāle hoñ
kuchh naach aur rañg kī dhūmeñ hoñ aish meñ ham matvāle hoñ
piyāle par pyāla chaltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe kī
har ek makāñ ho ḳhalvat kā aur aish kī sab tayyārī ho
vo jaan ki jis se jī ġhash ho sau naaz se aa jhankārī ho
dil dekh 'nazīr' us kī chhab ko har aan adā par vaarī ho
sab aish muhayyā ho aa kar jis jis armān kī baaī ho
jab sab armān nikaltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe kī
jab mah aghan ka Dhalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
aur hans hans pus sambhalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
din jaldi jaldi chalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
aur pala barf pighalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
chilla gham Thonk uchhalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
tan Thokar mar pichhaDa ho aur dil se hoti ho kushti si
thar-thar ka zor ukhaDa ho bajti ho sab ki battisi
ho shor phaphu hu-hu ka aur dhum ho si-si si-si ki
kalle pe kalla lag lag kar chalti ho munh mein chakki si
har dant chane se dalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
har ek makan mein sardi ne aa bandh diya ho ye chakkar
jo har dam kap-kap hoti ho har aan kaDakaD aur thar-thar
paiThi ho sardi rag rag mein aur barf pighalta ho patthar
jhaD-bandh mahawaT paDti ho aur tis par lahren le le kar
sannaTa baw ka chalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
har chaar taraf se sardi ho aur sehn khula ho koThe ka
aur tan mein nima shabnam ka ho jis mein KHas ka itr laga
chhiDkaw hua ho pani ka aur KHub palang bhi ho bhiga
hathon mein piyala sharbat ka ho aage ek farrash khaDa
farrash bhi pankha jhalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
jab aisi sardi ho ai dil tab roz maze ki ghaten hon
kuchh narm bichhaune maKHmal ke kuchh aish ki lambi raaten hon
mahbub gale se lipTa ho aur kuhni, chuTki, laten hon
kuchh bose milte jate hon kuchh miThi miThi baaten hon
dil aish-o-tarab mein palta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
ho farsh bichha ghaalichon ka aur parde chhoTe hon aa kar
ek garm angiThi jalti ho aur shama ho raushan aur tis par
wo dilbar, shoKH, pari, chanchal, hai dhum machi jis ki ghar ghar
resham ki narm nihaali par sau naz-o-ada se hans hans kar
pahlu ke bich machalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
tarkib bani ho majlis ki aur kafir nachne wale hon
munh un ke chand ke TukDe hon tan un ke rui ke gale hon
poshaken nazuk rangon ki aur oDhe shaal do-shaale hon
kuchh nach aur rang ki dhumen hon aish mein hum matwale hon
piyale par pyala chalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
har ek makan ho KHalwat ka aur aish ki sab tayyari ho
wo jaan ki jis se ji ghash ho sau naz se aa jhankari ho
dil dekh 'nazir' us ki chhab ko har aan ada par wari ho
sab aish muhayya ho aa kar jis jis arman ki bai ho
jab sab arman nikalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.