dhund
jab december meñ dhund utartī hai
apne asrār meñ lipaTtī huii, tah-ba-tah ham pe faash hotī huī
ye kisī yaad ke december se dil kī saḌkoñ pe aa nikaltī hai
raah to raah dil nahīñ miltā dhund jab ham meñ aa Thahartī hai
kaif kī sub.h-e-ḳhush-muqaddar meñ, ye dar-e-rāz ham pe khultā hai
jaise dil se kisī payambar ke, rab kī pahlī vahī guzartī hai
raah chalte hue musāfir par yuuñ december meñ dhund utartī hai
baaġh bhii, raah bhii, musāfir bhī raaz ke ik maqām meñ chup haiñ
dhund in sab se baat kartī hai aur ye ehtirām meñ chup haiñ
dhund meñ ik namī kā bosa hai
merī āsūdgī ke hāthoñ par ek bisrī kamī kā bosa hai
ek bhūlī huī kamī jaise, dhund meñ yaad kī namī jaise
mere hāthoñ meñ haath Daale hue merī ā.ankhoñ se baat kartī hai
apne asrār meñ lipaTtī huī jab december meñ dhund utartī hai
jab december mein dhund utarti hai
apne asrar mein lipaTti hui, tah-ba-tah hum pe fash hoti hui
ye kisi yaad ke december se dil ki saDkon pe aa nikalti hai
rah to rah dil nahin milta dhund jab hum mein aa Thaharti hai
kaif ki subh-e-KHush-muqaddar mein, ye dar-e-raaz hum pe khulta hai
jaise dil se kisi payambar ke, rab ki pahli wahi guzarti hai
rah chalte hue musafir par yun december mein dhund utarti hai
bagh bhi, rah bhi, musafir bhi raaz ke ek maqam mein chup hain
dhund in sab se baat karti hai aur ye ehtiram mein chup hain
dhund mein ek nami ka bosa hai
meri aasudgi ke hathon par ek bisri kami ka bosa hai
ek bhuli hui kami jaise, dhund mein yaad ki nami jaise
mere hathon mein hath Dale hue meri aaankhon se baat karti hai
apne asrar mein lipaTti hui jab december mein dhund utarti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.