Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

barbat-e-shikasta

Asrarul Haq Majaz

barbat-e-shikasta

Asrarul Haq Majaz

us ne jab kahā mujh se giit ik sunā do

sard hai fazā dil aag tum lagā do

kyā hasīn tevar the kyā latīf lahja thā

aarzū thī hasrat thī hukm thā taqāzā thā

gungunā ke mastī meñ saaz le liyā maiñ ne

chheḌ diyā āḳhir naġhma-e-vafā maiñ ne

yaas dhuāñ uTThā har navā-e-ḳhasta se

aah sadā niklī barbat-e-shikasta se

us ne jab kaha mujh se git ek suna do na

sard hai faza dil ki aag tum laga do na

kya hasin tewar the kya latif lahja tha

aarzu thi hasrat thi hukm tha taqaza tha

gunguna ke masti mein saz le liya main ne

chheD hi diya aaKHir naghma-e-wafa main ne

yas ka dhuan uTTha har nawa-e-KHasta se

aah ki sada nikli barbat-e-shikasta se

Source :
  • Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 94)

Tagged Under

Sad
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now