Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan rehana rahti thi

Akhtar Shirani

jahan rehana rahti thi

Akhtar Shirani

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī

vo is vaadī shahzādī thī aur shāhāna rahtī thī

kañval phuul thī sansār se begāna rahtī thī

nazar se duur misl-e-nik.hat-e-mastāna rahtī thī

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ rehāna rahtī thī

inhī sahrāoñ meñ vo apne galle ko charātī thī

inhīñ chashmoñ pe vo har roz muñh dhone ko aatī thī

inhī Tīloñ ke dāman meñ vo āzādāna rahtī thī

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī

khajūroñ ke tale vo jo khañDar se jhilmilāte haiñ

ye sab 'rehāna' ke ma.asūm afsāne sunāte haiñ

vo in khañDaroñ meñ ik din sūrat-e-afsāna rahtī thī

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī

mire hamdam ye naḳhlistān ik din us maskan thā

isī ke ḳharma.ī-e-āġhosh meñ us nasheman thā

isī shādāb vaadī meñ vo be-bākāna rahtī thī

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī

ye phūloñ hasīñ ābādiyāñ kāshāna thiiñ us

vo ik but thī ye saarī vādiyāñ but-ḳhāna thiiñ us

vo is firdaus-e-vajd-o-raqs meñ mastāna rahtī thī

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī

tabāhī havā is ḳhāk-e-rañgīñ tak na aa.ī thī

ye vo ḳhitta thā jis meñ nau-bahāroñ ḳhudā.ī thī

vo is ḳhitte meñ misl-e-sabza-e-begāna rahtī thī

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī

isī vīrāna meñ ik din bahishteñ lahlahātī thiiñ

ghaTā.eñ ghir ke aatī thiiñ havā.eñ muskurātī thiiñ

ki vo ban kar bahār-e-jannat-e-vīrāna rahtī thī

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī

ye vīrāna guzar jis meñ nahīñ hai kārvānoñ

jahāñ miltā nahīñ nām-o-nishāñ tak sārbānoñ

isī vīrāne meñ ik din mirī 'rehāna' rahtī thī

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī

yahīñ ābād thī ik din mire afkār malka

mire jazbāt devī mire ash.ār malka

vo malka jo ba-rañg-e-azmat-e-shāhāna rahtī thī

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ rehāna rahtī thī

sabā shāḳhoñ meñ naḳhlistāñ jis dam sarsarātī hai

mujhe har lahr se 'rehāna' āvāz aatī hai

yahīñ 'rehāna' rahtī hai yahīñ 'rehāna' rahtī thī

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī

fazā.eñ gūñjtī haiñ ab bhī un vahshī tarānoñ se

suno āvāz aatī hai un ḳhākī chaTānoñ se

ki jin meñ vo ba-rañg-e-naġhma-e-begāna rahtī thī

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī

mire hamdam junūn-e-shauq iz.hār karne de

mujhe us dasht ik ik kalī se pyaar karne de

jahāñ ik din vo misl-e-ġhuncha-e-mastāna rahtī thī

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī

ba-rabb-e-kāba us yaad meñ umreñ gañvā dūñgā

maiñ us vaadī ke zarre zarre par sajde bichhā dūñgā

jahāñ vo jān-e-ka.aba azmat-e-but-ḳhāna rahtī thī

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī

vo is Tiile par akasr āshiqāna giit gaatī thī

purāne sūrmāoñ ke fasāne gungunātī thī

yahīñ par muntazir merī vo betābāna rahtī thī

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī

khajūroñ ke hasīñ saa.e zamīñ par lahlahāte the

sitāre jagmagāte the shagūfe khilkhilāte the

fazā.eñ muntashir ik nik.hat-e-mastāna rahtī thī

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī

yahīñ bastī thī ai hamdam mire rūmān bastī

mire afsānoñ duniyā mire vijdān bastī

yahīñ 'rehāna' bastī thī yahīñ 'rehāna' bastī thī

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī

shamīm-e-zulf se us mahak jaatī thī kul vaadī

nigāh-e-mast se us bahak jaatī thī kul vaadī

havā.eñ par-fishāñ rūh-e-mai-o-mai-ḳhāna rahtī thī

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī

vo gesu-e-pareshāñ ghaTā.eñ raqs kartī thiiñ

fazā.eñ vajd kartī thiiñ havā.eñ raqs kartī thiiñ

vo is firdaus-e-vajd-o-raqs meñ mastāna rahtī thī

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī

gudāz-e-ishq se labrez thā qalb-e-hazīñ us

magar ā.īna-dār-e-sharm thā rū-e-hasīñ is

ḳhamoshī meñ chhupā.e naġhma-e-mastāna rahtī thī

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī

use phūloñ ne merī yaad meñ betāb dekhā hai

sitāroñ nazar ne raat bhar be-ḳhvāb dekhā hai

vo sham-e-husn thī par sūrat-e-parvāna rahtī thī

yahī vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī

yahīñ ham-rañg-e-gul-hā-e-hasīñ rahtī thī 'rehāna'

misāl-hūr-e-firdaus-e-barīñ rahtī thī 'rehāna'

yahīñ 'rehāna' rahtī thī yahīñ 'rehāna' rahtī thī

yahīñ vaadī hai vo hamdam jahāñ 'rehāna' rahtī thī

payām dard-e-dil 'aḳhtar' diye jaatā huuñ vaadī ko

salām-e-ruḳhsat-e-ġhamgīñ kiye jaatā huuñ vaadī ko

salām ai vādi-e-vīrāñ jahāñ 'rehāna' rahtī thī

yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi

wo is wadi ki shahzadi thi aur shahana rahti thi

kanwal ka phul thi sansar se begana rahti thi

nazar se dur misl-e-nikhat-e-mastana rahti thi

yahi wadi hai wo hamdam jahan rehana rahti thi

inhi sahraon mein wo apne galle ko charaati thi

inhin chashmon pe wo har roz munh dhone ko aati thi

inhi Tilon ke daman mein wo aazadana rahti thi

yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi

khajuron ke tale wo jo khanDar se jhilmilate hain

ye sab 'rehana' ke masum afsane sunate hain

wo in khanDaron mein ek din surat-e-afsana rahti thi

yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi

mere hamdam ye naKHlistan ek din us ka maskan tha

isi ke KHarmai-e-aghosh mein us ka nasheman tha

isi shadab wadi mein wo be-bakana rahti thi

yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi

ye phulon ki hasin aabaadiyan kashana thin us ka

wo ek but thi ye sari wadiyan but-KHana thin us ka

wo is firdaus-e-wajd-o-raqs mein mastana rahti thi

yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi

tabahi ki hawa is KHak-e-rangin tak na aai thi

ye wo KHitta tha jis mein nau-bahaaron ki KHudai thi

wo is KHitte mein misl-e-sabza-e-begana rahti thi

yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi

isi virana mein ek din bahishten lahlahati thin

ghaTaen ghir ke aati thin hawaen muskuraati thin

ki wo ban kar bahaar-e-jannat-e-virana rahti thi

yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi

ye virana guzar jis mein nahin hai karwanon ka

jahan milta nahin nam-o-nishan tak sarbanon ka

isi virane mein ek din meri 'rehana' rahti thi

yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi

yahin aabaad thi ek din mere afkar ki malka

mere jazbaat ki dewi mere ashaar ki malka

wo malka jo ba-rang-e-azmat-e-shahana rahti thi

yahi wadi hai wo hamdam jahan rehana rahti thi

saba shaKHon mein naKHlistan ki jis dam sarsaraati hai

mujhe har lahr se 'rehana' ki aawaz aati hai

yahin 'rehana' rahti hai yahin 'rehana' rahti thi

yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi

fazaen gunjti hain ab bhi un wahshi taranon se

suno aawaz si aati hai un KHaki chaTanon se

ki jin mein wo ba-rang-e-naghma-e-begana rahti thi

yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi

mere hamdam junun-e-shauq ka izhaar karne de

mujhe us dasht ki ek ek kali se pyar karne de

jahan ek din wo misl-e-ghuncha-e-mastana rahti thi

yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi

ba-rabb-e-kaba us ki yaad mein umren ganwa dunga

main us wadi ke zarre zarre par sajde bichha dunga

jahan wo jaan-e-kaba azmat-e-but-KHana rahti thi

yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi

wo is Tile par akasr aashiqana git gati thi

purane surmaon ke fasane gungunati thi

yahin par muntazir meri wo betabana rahti thi

yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi

khajuron ke hasin sae zamin par lahlahate the

sitare jagmagate the shagufe khilkhilate the

fazaen muntashir ek nikhat-e-mastana rahti thi

yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi

yahin basti thi ai hamdam mere ruman ki basti

mere afsanon ki duniya mere wijdan ki basti

yahin 'rehana' basti thi yahin 'rehana' basti thi

yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi

shamim-e-zulf se us ki mahak jati thi kul wadi

nigah-e-mast se us ki bahak jati thi kul wadi

hawaen par-fishan ruh-e-mai-o-mai-KHana rahti thi

yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi

wo gesu-e-pareshan ya ghaTaen raqs karti thin

fazaen wajd karti thin hawaen raqs karti thin

wo is firdaus-e-wajd-o-raqs mein mastana rahti thi

yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi

gudaz-e-ishq se labrez tha qalb-e-hazin us ka

magar aaina-dar-e-sharm tha ru-e-hasin is ka

KHamoshi mein chhupae naghma-e-mastana rahti thi

yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi

use phulon ne meri yaad mein betab dekha hai

sitaron ki nazar ne raat bhar be-KHwab dekha hai

wo sham-e-husn thi par surat-e-parwana rahti thi

yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi

yahin ham-rang-e-gul-ha-e-hasin rahti thi 'rehana'

misal-hur-e-firdaus-e-barin rahti thi 'rehana'

yahin 'rehana' rahti thi yahin 'rehana' rahti thi

yahin wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi

payam dard-e-dil 'aKHtar' diye jata hun wadi ko

salam-e-ruKHsat-e-ghamgin kiye jata hun wadi ko

salam ai wadi-e-viran jahan 'rehana' rahti thi

Source :
  • Book : kulliyat-e-akhtar shirani (Pg. 148)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now