Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhabbis january

Masooda Hayat

chhabbis january

Masooda Hayat

har saal jagmagātī hai chhabbīs january

har samt muskurātī hai chhabbīs january

sab ke diloñ ko bhātī hai chhabbīs january

shān-e-vatan dikhātī hai chhabbīs january

jantā dil baḌhātī hai chhabbīs january

haiñ bām-o-dar pe aaj tirañge lage hue

phūloñ se chaar samt haiñ raste saje hue

har imāratoñ pe haiñ dīpak jale hue

shān-e-vatan dikhātī hai chhabbīs january

jantā dil baḌhātī hai chhabbīs january

aa.iin apnā aaj ke din shurūa huā

jantā ko vote dene haq aaj milā

jamhūriyat ke naam Dañkā baj gayā

shān-e-vatan dikhātī hai chhabbīs january

jantā dil baḌhātī hai chhabbīs january

faujī qatār bāñdh ke aate haiñ raah meñ

sāmān-e-jang saath laate haiñ raah meñ

kartab bahādurī ke dikhāte haiñ raah meñ

shān-e-vatan dikhātī hai chhabbīs january

jantā dil baḌhātī hai chhabbīs january

dillī meñ saare hind se aatī haiñ jhāñkiyāñ

manzar riyāsatoñ ke dikhātī haiñ jhāñkiyāñ

aapas meñ ittihād baḌhātī haiñ jhāñkiyāñ

shān-e-vatan dikhātī hai chhabbīs january

jantā dil baḌhātī hai chhabbīs january

har sal jagmagati hai chhabbis january

har samt muskuraati hai chhabbis january

sab ke dilon ko bhati hai chhabbis january

shan-e-watan dikhati hai chhabbis january

janta ka dil baDhati hai chhabbis january

hain baam-o-dar pe aaj tirange lage hue

phulon se chaar samt hain raste saje hue

har su imaraton pe hain dipak jale hue

shan-e-watan dikhati hai chhabbis january

janta ka dil baDhati hai chhabbis january

aain apna aaj ke din hi shurua hua

janta ko wote dene ka haq aaj hi mila

jamhuriyat ke nam ka Danka hi baj gaya

shan-e-watan dikhati hai chhabbis january

janta ka dil baDhati hai chhabbis january

fauji qatar bandh ke aate hain rah mein

saman-e-jang sath hi late hain rah mein

kartab bahaduri ke dikhate hain rah mein

shan-e-watan dikhati hai chhabbis january

janta ka dil baDhati hai chhabbis january

dilli mein sare hind se aati hain jhankiyan

manzar riyasaton ke dikhati hain jhankiyan

aapas mein ittihad baDhati hain jhankiyan

shan-e-watan dikhati hai chhabbis january

janta ka dil baDhati hai chhabbis january

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now