Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naya shiwala

Allama Iqbal

naya shiwala

Allama Iqbal

Interesting Fact

From Part-1 till 1905 (Bang-e-Dara)

sach kah duuñ ai barhaman gar burā na maane

tere sanam-kadoñ ke but ho ga.e purāne

apnoñ se bair rakhnā ne butoñ se sīkhā

jañg-o-jadal sikhāyā vaa.iz ko bhī ḳhudā ne

tañg aa ke maiñ ne āḳhir dair o haram ko chhoḌā

vaa.iz va.az chhoḌā chhoḌe tire fasāne

patthar mūratoñ meñ samjhā hai ḳhudā hai

ḳhāk-e-vatan mujh ko har zarra devtā hai

aa ġhairiyat ke parde ik baar phir uThā deñ

bichhḌoñ ko phir milā deñ naqsh-e-duī miTā deñ

suunī paḌī huī hai muddat se dil bastī

aa ik nayā shivāla is des meñ banā deñ

duniyā ke tīrathoñ se ūñchā ho apnā tīrath

dāmān-e-āsmāñ se is kalas milā deñ

har sub.h uTh ke gaa.eñ mantar vo mīThe mīThe

saare pujāriyoñ ko mai piit pilā deñ

shaktī bhī shāntī bhī bhagtoñ ke giit meñ hai

dhartī ke bāsiyoñ muktī priit meñ hai

sach kah dun ai barhaman gar tu bura na mane

tere sanam-kadon ke but ho gae purane

apnon se bair rakhna tu ne buton se sikha

jang-o-jadal sikhaya waiz ko bhi KHuda ne

tang aa ke main ne aaKHir dair o haram ko chhoDa

waiz ka waz chhoDa chhoDe tere fasane

patthar ki muraton mein samjha hai tu KHuda hai

KHak-e-watan ka mujh ko har zarra dewta hai

aa ghairiyat ke parde ek bar phir uTha den

bichhDon ko phir mila den naqsh-e-dui miTa den

suni paDi hui hai muddat se dil ki basti

aa ek naya shiwala is des mein bana den

duniya ke tirathon se uncha ho apna tirath

daman-e-asman se is ka kalas mila den

har subh uTh ke gaen mantar wo miThe miThe

sare pujariyon ko mai pit ki pila den

shakti bhi shanti bhi bhagton ke git mein hai

dharti ke basiyon ki mukti prit mein hai

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Abdul Ahad Saaz

Abdul Ahad Saaz

RECITATIONS

Hamida Chopra

Hamida Chopra,

00:00/00:00
Hamida Chopra

nayaa shivaala Hamida Chopra

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now