Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri holi

Seemab Akbarabadi

meri holi

Seemab Akbarabadi

kaash hāsil ho haqīqī zindagī ek din

sarḳhushī ek lamha ḳhushī ek din

kar diyā hai shorish-e-ālam ne dīvāna mujhe

hai bisāt-e-dahr vahshat-nāk vīrāna mujhe

ik na.ī duniyā ḳhilqat hai mirī taḳh.īl meñ

jo muāvin ho sake insān takmīl meñ

ehtimām-e-zindagī jis meñ ba-taur-e-ḳhās ho

āsmāñ jis mohabbat ho zamīñ iḳhlās ho

kirshn aaj yād-e-rafta mahfil-e-zinda karo

brij-o-gokul bujhī sham.oñ ko tābinda karo

ḳhushkī-e-gañg-o-jaman ābiyārī ke liye

dāvateñ do gopiyoñ ko rañg-bārī ke liye

az-sar-e-nau phir murattab ho jahān-e-rañg-o-bū

ḳhār-o-ḳhas se phir ho paidā kār-ḳhāne rañg-o-bū

prem-ras se laao bhar kar ḳhushnumā pichkāriyāñ

hoñ na.ī dāmān-e-hastī par latāfat-bāriyāñ

ruuh āvāz ham ā.eñge sāz-o-chañg ho

jo paḌe insāñ pe vo insāniyat rañg ho

chāhtā huuñ yuuñ ho rañgīñ pairahan aur sāriyāñ

shust-o-shū se bhī na zaa.il ho sakeñ gul-kāriyāñ

jism sūrat rahe dil bhī masarrat meñ sharīk

rūh-e-āzādī bhī ho jaa.e haqīqat meñ sharīk

chāhtā huuñ gulshan-e-kohna par aa jaa.e shabāb

tinkā tinkā phuul ho aur pattā pattā āftāb

tāzgī vaj.h-e-shaguft-e-ḳhātir-e-ālam rahe

merī duniyā meñ hamesha ek mausam rahe

shā.ir-o-sannā.a ho fikr-o-ḳhalish se be-niyāz

ḳhvāja-o-mazdūr meñ baaqī na ho kuchh imtiyāz

irtiqā ke rañg se labrez jholī ho merī

inqilāb aisā koī aa.e to holī ho merī

kash hasil ho haqiqi zindagi ka ek din

sarKHushi ka ek lamha ya KHushi ka ek din

kar diya hai shorish-e-alam ne diwana mujhe

hai bisat-e-dahr wahshat-nak virana mujhe

ek nai duniya ki KHilqat hai meri taKHil mein

jo muawin ho sake insan ki takmil mein

ehtimam-e-zindagi jis mein ba-taur-e-KHas ho

aasman jis ka mohabbat ho zamin iKHlas ho

kirshn ki aaj yaad-e-rafta mahfil-e-zinda karo

brij-o-gokul ki bujhi shamon ko tabinda karo

KHushki-e-gang-o-jaman ki aabiyari ke liye

dawaten do gopiyon ko rang-bari ke liye

az-sar-e-nau phir murattab ho jahan-e-rang-o-bu

KHar-o-KHas se phir ho paida kar-KHane rang-o-bu

prem-ras se lao bhar kar KHushnuma pichkariyan

hon nai daman-e-hasti par latafat-bariyan

ruh ki aawaz hum aaenge saz-o-chang ho

jo paDe insan pe wo insaniyat ka rang ho

chahta hun yun ho rangin pairahan aur sariyan

shust-o-shu se bhi na zail ho saken gul-kariyan

jism ki surat rahe dil bhi masarrat mein sharik

ruh-e-azadi bhi ho jae haqiqat mein sharik

chahta hun gulshan-e-kohna par aa jae shabab

tinka tinka phul ho aur patta patta aaftab

tazgi wajh-e-shaguft-e-KHatir-e-alam rahe

meri duniya mein hamesha ek hi mausam rahe

shair-o-sannaa ho fikr-o-KHalish se be-niyaz

KHwaja-o-mazdur mein baqi na ho kuchh imtiyaz

irtiqa ke rang se labrez jholi ho meri

inqilab aisa koi aae to holi ho meri

Source :
  • Book : Hindustan Hamara-1 (Pg. 255)
  • Author : Jan Nisar Akhtar
  • Publication : B.K. Offset Navin Shahdara Delhi-110032 (2010)
  • Edition : 2010

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now