Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

holi

muḳhtalif rang bikharte haiñ tire āñgan meñ

tere āñgan meñ mahakte haiñ mohabbat ke gulāb

vaqt ke paikar-e-pīrī ta.assur ye hai

hai dhanak-rang tirā aaj bhī mas.hūr-e-shabāb

rū-e-sad-rang uḳhuvvat sabāhat le kar

be-ġharaz aaya ta.assub ke siyah-ḳhānoñ meñ

raqs kartā hai ḳhushī ban ke har ik samt gulāl

bāda-e-lutf bharī hai tire paimānoñ meñ

holikā jaltī hai jab shahr ke chaurāhoñ par

miT ga.ī jaise burā.ī ye gumāñ hotā hai

ek ik fard ko hotā hai ḳhushī ehsās

āḳhir-e-shab jo nigāhoñ meñ dhuāñ hotā hai

ai ki rangīn milan hai mohabbat payām

muttahid hone ik shoḳh alāmat hai

yuuñ ba-zāhir to hai ik aam tyauhār magar

rūh-e-bhārat ke liye naġhma-e-rāhat hai

muKHtalif rang bikharte hain tere aangan mein

tere aangan mein mahakte hain mohabbat ke gulab

waqt ke paikar-e-piri ka tassur ye hai

hai dhanak-rang tera aaj bhi mashur-e-shabab

ru-e-sad-rang uKHuwwat ki sabahat le kar

be-gharaz aaya tassub ke siyah-KHanon mein

raqs karta hai KHushi ban ke har ek samt gulal

baada-e-lutf bhari hai tere paimanon mein

holika jalti hai jab shahr ke chaurahon par

miT gai jaise burai ye guman hota hai

ek ek fard ko hota hai KHushi ka ehsas

aaKHir-e-shab jo nigahon mein dhuan hota hai

ai ki rangin milan tu hai mohabbat ka payam

muttahid hone ki ek shoKH alamat tu hai

yun ba-zahir to hai ek aam sa tyauhaar magar

ruh-e-bhaarat ke liye naghma-e-rahat tu hai

Source :

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now