Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

holi

miyāñ ham se na rakh kuchh ġhubār holī meñ

ki rūThe milte haiñ aapas meñ yaar holī meñ

machī hai rañg kaisī bahār holī meñ

huā hai zor-e-chaman āshkār holī meñ

ajab ye hind dekhī bahār holī meñ

ab is mahīne meñ pahuñchī hai yaañ talak ye chaal

falak jaama pahan surḳhī-e-shafaq se laal

banā ke chāñd ke sūraj ke āsmāñ par thaal

farishte kheleñ haiñ holī binā abīr-o-gulāl

to aadmī bhalā kyā shumār holī meñ

sunā ke holī jo zohra bajātī hai tambūr

to us ke raag se bārah burūj haiñ māmūr

chhūoñ sitāroñ ke uupar paḌā hai rañg nuur

sabhoñ ke sar pe ye har dam pukārtī hai huur

jo ghir ke abr kabhī is maze meñ aatā hai

to bādaloñ meñ vo kyā kyā rañg laatā hai

ḳhushī se ra.ad bhī Dholak gat lagātā hai

havā ko holiyāñ ke kyā nachātā hai

tamām rañg se pur hai bahār holī meñ

chaman meñ dekho to din raat holī rahtī hai

sharāb-e-nāb gulshan meñ nahr bahtī hai

nasīm pyaar se ġhunche haath gahtī hai

to bāġhbān se bulbul khaḌī ye kahtī hai

na chheḌ mujh ko ai bad-shi.ār holī meñ

guloñ ne pahne haiñ kyā kyā joḌe rañg-ba-rañg

ki jaise laḌke ye māshūq pahante haiñ tañg

havā se pattoñ ke bajte haiñ taal aur mirdañg

tamām baaġh meñ kheleñ haiñ holī gul ke sañg

ajab tarah machī hai bahār holī meñ

amiir jitne haiñ sab apne ghar meñ haiñ ḳhush-hāl

qabā.eñ pahne hue tañg tañg gul misāl

banā ke gahrī tarah hauz mil ke sab filhāl

machā.e holiyāñ aapas meñ le abīr-o-gulāl

bane haiñ rañg se rañgīñ nigār holī meñ

ye sair holī ham ne to biruj meñ dekhī

kahīñ na hovegī is lutf miyāñ holī

koī to Duubā hai dāman se le ke cholī

koī to murlī bajātā hai kah kanhaiyā

hai dhūm-dhām pe be-iḳhtiyār holī meñ

gharoñ se sāñvarī aur goriyāñ nikal chaliyāñ

kusumbī oḌhnī aur mast kurtī uchhalyyāñ

jidhar ko dekheñ udhar mach rahī haiñ rañg-raliyāñ

tamām brij pariyoñ se bhar rahīñ galiyāñ

mazā hai sair hai dar har kanār holī meñ

jo kuchh kahānī hai ablā bahut piyā maarī

chalī hai apne piyā paas le ke pichkārī

gulāl dekh ke phir chhātī khol saarī

piyā chhātī se lagtī vo chaav maarī

na taab dil ko rahī ne qarār holī meñ

jo koī siyānī hai in meñ to koī hai nā-kunad

vo shor-bor thī sab rañg se nipaT yak chand

koī dilātī hai sāthin ko yaar key saugand

ki ab to jāma-o-añgiyā ke Tole haiñ sab band

phir aa ke kheleñge ho kar do-chār holī meñ

'nazīr' holī mausam jo jag meñ aatā hai

vo aisā kaun hai holī nahīñ manātā hai

koī to rañg chhiḌaktā hai koī gaatā hai

jo ḳhālī rahtā hai vo dekhne ko jaatā hai

jo aish chāho so miltā hai yaar holī meñ

miyan tu hum se na rakh kuchh ghubar holi mein

ki ruThe milte hain aapas mein yar holi mein

machi hai rang ki kaisi bahaar holi mein

hua hai zor-e-chaman aashkar holi mein

ajab ye hind ki dekhi bahaar holi mein

ab is mahine mein pahunchi hai yan talak ye chaal

falak ka jama pahan surKHi-e-shafaq se lal

bana ke chand ke suraj ke aasman par thaal

farishte khelen hain holi bina abir-o-gulal

to aadmi ka bhala kya shumar holi mein

suna ke holi jo zohra bajati hai tambur

to us ke rag se barah buruj hain mamur

chhuon sitaron ke upar paDa hai rang ka nur

sabhon ke sar pe ye har dam pukarti hai hur

jo ghir ke abr kabhi is maze mein aata hai

to baadalon mein wo kya kya hi rang lata hai

KHushi se rad bhi Dholak ki gat lagata hai

hawa ko holiyan ga ga ke kya nachata hai

tamam rang se pur hai bahaar holi mein

chaman mein dekho to din raat holi rahti hai

sharab-e-nab ki gulshan mein nahr bahti hai

nasim pyar se ghunche ka hath gahti hai

to baghban se bulbul khaDi ye kahti hai

na chheD mujh ko tu ai bad-shiar holi mein

gulon ne pahne hain kya kya hi joDe rang-ba-rang

ki jaise laDke ye mashuq pahante hain tang

hawa se patton ke bajte hain tal aur mirdang

tamam bagh mein khelen hain holi gul ke sang

ajab tarah ki machi hai bahaar holi mein

amir jitne hain sab apne ghar mein hain KHush-haal

qabaen pahne hue tang tang gul ki misal

bana ke gahri tarah hauz mil ke sab filhaal

machae holiyan aapas mein le abir-o-gulal

bane hain rang se rangin nigar holi mein

ye sair holi ki hum ne to biruj mein dekhi

kahin na howegi is lutf ki miyan holi

koi to Duba hai daman se le ke ta choli

koi to murli bajata hai kah kanhaiya ji

hai dhum-dham pe be-iKHtiyar holi mein

gharon se sanwari aur goriyan nikal chaliyan

kusumbi oDhni aur mast kurti uchhalyyan

jidhar ko dekhen udhar mach rahi hain rang-raliyan

tamam brij ki pariyon se bhar rahin galiyan

maza hai sair hai dar har kanar holi mein

jo kuchh kahani hai abla bahut piya mari

chali hai apne piya pas le ke pichkari

gulal dekh ke phir chhati khol di sari

piya ki chhati se lagti wo chaw ki mari

na tab dil ko rahi ne qarar holi mein

jo koi siyani hai in mein to koi hai na-kunad

wo shor-bor thi sab rang se nipaT yak chand

koi dilati hai sathin ko yar key saugand

ki ab to jama-o-angiya ke Tole hain sab band

phir aa ke khelenge ho kar do-chaar holi mein

'nazir' holi ka mausam jo jag mein aata hai

wo aisa kaun hai holi nahin manata hai

koi to rang chhiDakta hai koi gata hai

jo KHali rahta hai wo dekhne ko jata hai

jo aish chaho so milta hai yar holi mein

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now