Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

holi

jaate phāgun holī aa.ī

sab ne mil kar holī gaa.ī

Dhab Dhab Dhab Dhab Dhol bajāyā

holī gaa.ī rang uchhālā

rang birañgī puḌiyā gholī

bachchoñ ne chhoḌī pichkārī

rang meñ Duube būḌhe bachche

saḌkoñ par sab uchhle kuude

phir ghar kar ḳhuub nahā.e

kapḌe ḳhushbū se mahkā.e

aapas meñ ḳhush ho ke mile haiñ

dil meñ ḳhushī ke phuul khile haiñ

jaate phāgun holī aa.ī

sab ne mil kar holī gaa.ī

jate phagun holi aai

sab ne mil kar holi gai

Dhab Dhab Dhab Dhab Dhol bajaya

holi gai rang uchhaala

rang birangi puDiya gholi

bachchon ne chhoDi pichkari

rang mein Dube buDhe bachche

saDkon par sab uchhle kude

phir ghar ja kar KHub nahae

kapDe KHushbu se mahkae

aapas mein KHush ho ke mile hain

dil mein KHushi ke phul khile hain

jate phagun holi aai

sab ne mil kar holi gai

Source :

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now