Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

holi

dikhātī hai kyā rang kyā shaan holī

nashāt-o-tarab hai sāmān holī

dikhātī hai kyā rang kyā shaan holī

fazāoñ meñ gūñje hue haiñ tarāne

koī rang khele koī gaa.e gaane

kahīñ chahchahe haiñ kahīñ qahqahe haiñ

nikāle har ik dil armān holī

dikhātī hai kyā rang kyā shaan holī

bahāroñ se dāman sajā.e hue hai

nishāñ ranj-o-ġham miTā.e hue hai

luTātī hai ghar ghar ḳhushī ḳhazāna

sajātī hai har lab pe muskān holī

dikhātī hai kyā rang kyā shaan holī

adāvat chiñgāriyoñ ko bujhā kar

diloñ meñ mohabbat kaliyāñ khilā kar

sabaq bhā.ī-chāre detī hai sab ko

banātī hai insāñ ko insān holī

dikhātī hai kyā rang kyā shaan holī

dikhati hai kya rang kya shan holi

nashat-o-tarab ka hai saman holi

dikhati hai kya rang kya shan holi

fazaon mein gunje hue hain tarane

koi rang khele koi gae gane

kahin chahchahe hain kahin qahqahe hain

nikale har ek dil ka arman holi

dikhati hai kya rang kya shan holi

bahaaron se daman sajae hue hai

nishan ranj-o-gham ka miTae hue hai

luTati hai ghar ghar KHushi ka KHazana

sajati hai har lab pe muskan holi

dikhati hai kya rang kya shan holi

adawat ki chingariyon ko bujha kar

dilon mein mohabbat ki kaliyan khila kar

sabaq bhai-chaare ka deti hai sab ko

banati hai insan ko insan holi

dikhati hai kya rang kya shan holi

Source :

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now