be-nishan
maiñ ab aayā huuñ itne barsoñ ke baa'd
āñdhiyāñ aa.iiñ badliyāñ barsīñ
dab ga.iiñ ḳhaak kī taheñ tah-e-ḳhāk
bahtī miTTī meñ bah ga.ī miTTī
mere nādīda pesh-rau tirī qabr
kis jagah thī ye ab kise mā'lūm
yūñhī apne qayās se maiñ ne
ret kī ik shikan ko pahchānā
miTtī sat.hoñ pe ek Dūbtī satr
ik ḳhat-e-ḳhāk jis pe kuchh kankar
maiñ ne pahle to chun ke rakh bhī diye
phir ḳhayāl aayā ab ye kaun kahe
qabr terī yahīñ kahīñ thī magar
thī kahāñ shāyad is jagah to na thī
kuchh jo sochā na jaane kyā sochā
zehn meñ laakh ulajh ga.e ḳhāke
maiñ ne kankar vo sab bikher diye
be-nishāñ ḳhaak mere sāmne ab
un jahānoñ kā ek hissa hai
jin ke bhedoñ kī thaah meñ tū hai
jin ke sāyoñ kī qabr meñ maiñ huuñ
main ab aaya hun itne barson ke ba'd
aandhiyan aain badliyan barsin
dab gain KHak ki tahen tah-e-KHak
bahti miTTi mein bah gai miTTi
mere nadida pesh-rau teri qabr
kis jagah thi ye ab kise ma'lum
yunhi apne qayas se main ne
ret ki ek shikan ko pahchana
miTti sathon pe ek Dubti satr
ek KHat-e-KHak jis pe kuchh kankar
main ne pahle to chun ke rakh bhi diye
phir KHayal aaya ab ye kaun kahe
qabr teri yahin kahin thi magar
thi kahan shayad is jagah to na thi
kuchh jo socha na jaane kya socha
zehn mein lakh ulajh gae KHake
main ne kankar wo sab bikher diye
be-nishan KHak mere samne ab
un jahanon ka ek hissa hai
jin ke bhedon ki thah mein tu hai
jin ke sayon ki qabr mein main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.