Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ustad-e-mohtaram ko mera salam kahna

Ahmad Hatib Siddiqi

ustad-e-mohtaram ko mera salam kahna

Ahmad Hatib Siddiqi

kitnī mohabbatoñ se pahlā sabaq paḌhāyā

maiñ kuchh na jāntā thā sab kuchh mujhe sikhāyā

an-paḌh thā aur jāhil qābil mujhe banāyā

duniyā-e-ilm-o-dānish rāsta dikhāyā

ai dosto mileñ to bas ik payām kahnā

ustād-e-mohtaram ko merā salām kahnā

mujh ko ḳhabar nahīñ thī aayā huuñ maiñ kahāñ se

maañ baap is zamīñ par laa.e the āsmāñ se

pahuñchā diyā falak tak ustād ne yahāñ se

vāqif na thā zarā bhī itne baḌe jahāñ se

mujh ko dilāyā kitnā achchhā maqām kahnā

ustād-e-mohtaram ko merā salām kahnā

jiine fan sikhāyā marne bāñkpan bhī

izzat ke gur batā.e rusvā.ī ke chalan bhī

kāñTe bhī raah meñ haiñ phūloñ anjuman bhī

tum faḳhr-e-qaum banñā aur nāzish-e-vatan bhī

hai yaad mujh ko un ek ik kalām kahnā

ustād-e-mohtaram ko merā salām kahnā

jo ilm alam hai ustād atā hai

hāthoñ meñ jo qalam hai ustād atā hai

jo fikr-e-tāza-dam hai ustād atā hai

jo kuchh kiyā raqam hai ustād atā hai

un atā se chamkā 'hātib' naam kahnā

ustād-e-mohtaram ko merā salām kahnā

kitni mohabbaton se pahla sabaq paDhaya

main kuchh na jaanta tha sab kuchh mujhe sikhaya

an-paDh tha aur jahil qabil mujhe banaya

duniya-e-ilm-o-danish ka rasta dikhaya

ai dosto milen to bas ek payam kahna

ustad-e-mohtaram ko mera salam kahna

mujh ko KHabar nahin thi aaya hun main kahan se

man bap is zamin par lae the aasman se

pahuncha diya falak tak ustad ne yahan se

waqif na tha zara bhi itne baDe jahan se

mujh ko dilaya kitna achchha maqam kahna

ustad-e-mohtaram ko mera salam kahna

jine ka fan sikhaya marne ka bankpan bhi

izzat ke gur batae ruswai ke chalan bhi

kanTe bhi rah mein hain phulon ki anjuman bhi

tum faKHr-e-qaum banna aur nazish-e-watan bhi

hai yaad mujh ko un ka ek ek kalam kahna

ustad-e-mohtaram ko mera salam kahna

jo ilm ka alam hai ustad ki ata hai

hathon mein jo qalam hai ustad ki ata hai

jo fikr-e-taza-dam hai ustad ki ata hai

jo kuchh kiya raqam hai ustad ki ata hai

un ki ata se chamka 'hatib' ka nam kahna

ustad-e-mohtaram ko mera salam kahna

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now