Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

irade

kisī din chāñd par ham log bhī rocket se jā.eñge

ye maanā chāñd abhī ik ret maidān hai lekin

kisī din ke ham is ko hasīñ jannat banā.eñge

kisī din chāñd par ham log bhī rocket se jā.eñge

ye maanā chāñd par is vaqt ābādī nahīñ lekin

kisī din ham vahāñ kar na.ī bastī basā.eñge

kisī din chāñd par ham log bhī rocket se jā.eñge

ye maanā chāñd abhī bad-sūrat-o-bad-shakl hai lekin

kisī din ham use duniyā se bhī dilkash banā.eñge

kisī din chāñd par ham log bhī rocket se jā.eñge

ye maanā chāñd par har samt haiñ jvālā-mukhī lekin

kisī din ham vahāñ par pyaar kaliyāñ khilā.enge

kisī din chāñd par ham log bhī rocket se jā.eñge

ye maanā chāñd andar se bahut tārīk hai lekin

kisī din ham vahāñ par amn sham.eñ jalā.eñge

kisī din chāñd par ham log bhī rocket se jā.eñge

ye maanā chāñd par har samt haiñ vīrāniyāñ lekin

kisī din ham vahāñ kar bahut dhūmeñ machā.eñge

kisī din chāñd par ham log bhī rocket se jā.eñge

ye maanā chāñd par jaanā abhī be-kār hai lekin

vo din bhī aa.egā jab ham vahāñ picnic manāeñge

kisī din chāñd par ham log bhī rocket se jā.eñge

kisi din chand par hum log bhi rocket se jaenge

ye mana chand abhi ek ret ka maidan hai lekin

kisi din ja ke hum is ko hasin jannat banaenge

kisi din chand par hum log bhi rocket se jaenge

ye mana chand par is waqt aabaadi nahin lekin

kisi din hum wahan ja kar nai basti basaenge

kisi din chand par hum log bhi rocket se jaenge

ye mana chand abhi bad-surat-o-bad-shakl hai lekin

kisi din hum use duniya se bhi dilkash banaenge

kisi din chand par hum log bhi rocket se jaenge

ye mana chand par har samt hain jwala-mukhi lekin

kisi din hum wahan par pyar ki kaliyan khilaenge

kisi din chand par hum log bhi rocket se jaenge

ye mana chand andar se bahut tarik hai lekin

kisi din hum wahan par amn ki shamen jalaenge

kisi din chand par hum log bhi rocket se jaenge

ye mana chand par har samt hain viraniyan lekin

kisi din hum wahan ja kar bahut dhumen machaenge

kisi din chand par hum log bhi rocket se jaenge

ye mana chand par jaana abhi be-kar hai lekin

wo din bhi aaega jab hum wahan picnic manaenge

kisi din chand par hum log bhi rocket se jaenge

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now