Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa chali

Ismail Merathi

hawa chali

Ismail Merathi

hone ko aa.ī sub.h to ThanDī havā chalī

kyā dhīmī dhīmī chaal se ye ḳhush-adā chalī

lahrā diyā hai khet ko hiltī haiñ bāliyāñ

paude bhī jhūmte haiñ lachaktī haiñ Dāliyāñ

phulvāriyoñ meñ taaza shagūfe khilā chalī

soyā huā thā sabza use to jagā chalī

sarsabz hoñ daraḳht na bāġhoñ meñ tujh baġhair

tere dam-qadam se hai bhātī chaman sair

paḌ jaa.e is jahān meñ terī agar kamī

chaupāya koī zinda bache aur na aadmī

chiḌiyoñ ko ye uḌaan tāqat kahāñ rahe

phir kaa.eñ kaa.eñ ho na ġhuTarġhūñ na chahchahe

bandoñ ko chāhiye ki kareñ bandagī adā

us ki jis ke hukm se chaltī hai ye sadā

hone ko aai subh to ThanDi hawa chali

kya dhimi dhimi chaal se ye KHush-ada chali

lahra diya hai khet ko hilti hain baaliyan

paude bhi jhumte hain lachakti hain Daliyan

phulwariyon mein taza shagufe khila chali

soya hua tha sabza use to jaga chali

sarsabz hon daraKHt na baghon mein tujh baghair

tere hi dam-qadam se hai bhati chaman ki sair

paD jae is jahan mein teri agar kami

chaupaya koi zinda bache aur na aadmi

chiDiyon ko ye uDan ki taqat kahan rahe

phir kaen kaen ho na ghuTarghun na chahchahe

bandon ko chahiye ki karen bandagi ada

us ki ki jis ke hukm se chalti hai ye sada

Source :
  • Book : Urdu Zabaan ki tisari kitab (Pg. 52)
  • Author : Khansahab Molvi Mohd. Ismail
  • Publication : Farid Book Depo(Pvt.) Ltd
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now